SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-sabaati-e-dahr-e-KHaraab"
Sher MATCHES FOR "be-sabaati-e-dahr-e-KHaraab"
Sher
be-sabaatii chaman-e-dahr kii hai jin pe khulii
havas-e-ra.ng na vo KHvaahish-e-buu karte hai.n
Aish Dehlvi
Sher
KHaraab-e-dahr na mai.n KHud hu.aa na tuu ne kiyaa
jo kuchh kiyaa tire milne kii aarzuu ne kiyaa
Zaidi Balgami
Sher
rind-e-KHaraab-nosh kii be-adabii to dekhiye
niyyat-e-mai-kashii na kii haath me.n jaam le liyaa
Shakeel Badayuni
Sher
Abdul Rahman Bazmi
Sher
sadiyo.n me.n jaa ke bantaa hai aaKHir mizaaj-e-dahr
'madnii' ko.ii taGayyur-e-aalam hai be-sabab
Aziz Hamid Madni
Sher
Mubarak Shamim
Sher
usii ko zindagii kaa saaz de ke mutma.in huu.n mai.n
vo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aa.e hai.n
Nushur Wahidi
Sher
tere baazaar-e-dahr me.n garduu.n
ham bhii aa.e hai.n ik qabaa ke liye
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
saKHtii-e-dahr hu.e bahr-e-suKHan me.n aasaa.n
qaafiye aa.e jo patthar ke mai.n paanii samjhaa
Muneer Shikohabadi
Sher
us but ko chho.D kar haram-o-dair par miTe
aql-e-shariif se ye nihaayat ba.iid hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Zulfeqar Ahmad Tabish
Sher
ka.aba-o-dair ek samajhte hai.n ri.nd-e-paak
paaband ye nahii.n hai.n haraam-o-halaal ke
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
diivaar-o-dar pe KHuun ke chhii.nTe hai.n jaa-ba-jaa
bikhraa hu.aa hai ra.ng-e-hinaa tere shahar me.n
Kaif Azimabadi
Sher
be-dar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko.ii ham-saaya na ho aur paasbaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
dair o haram ba-chashm-e-haqiiqat nahii.n judaa
ya.anii ma.aal-e-sub.ha-o-zunnaar ek hai