SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-sabab"
Sher MATCHES FOR "be-sabab"
Sher
kamar KHamiida nahii.n be-sabab za.iifii me.n
zamiin Dhuu.nDte hai.n vo mazaar ke qaabil
Khwaja Meer Dard
Sher
be-sabab Gunche chaTakte nahii.n gulzaaro.n me.n
phir rahaa hai ye Dhi.nDhoraa tirii ra.anaa.ii kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
be-sabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham KHafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
Nafas Ambalvi
Sher
be-sabab zalzala 'aalam me.n nahii.n aataa hai
ko.ii betaab tah-e-KHaak ta.Daptaa hogaa
Ameer Minai
Sher
be-sabab dono.n me.n har ek ko dilchaspii thii
aur har ek se bezaar the ham bhii tum bhii
aqeel nomani
Sher
be-sabab dono.n me.n har ek ko dilchaspii thii
aur har ek se bezaar the ham bhii tum bhii
aqeel nomani
Sher
be-sabab dono.n me.n har ek ko dilchaspii thii
aur har ek se bezaar the ham bhii tum bhii
aqeel nomani
Sher
ye be-sabab nahii.n aa.e hai.n aa.nkh me.n aa.nsuu
KHushii kaa lamha ko.ii yaad aa gayaa hogaa
Akhtar Saeed Khan
Sher
kabhii kabhii to judaa be-sabab bhii hote hai.n
sadaa zamaane kii taqsiir tho.Dii hotii hai
Humaira Rahat
Sher
aanaa ye hichkiyo.n kaa mujhe be-sabab nahii.n
bhuule se us ne yaad kyaa ho ajab nahii.n