SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-sharaf"
Sher MATCHES FOR "be-sharaf"
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
is parde me.n ye husn kaa aalam hai ilaahii
be-parda vo ho jaa.e.n to kyaa jaaniye kyaa ho
Sharaf Mujaddidi
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
aa.nkhe.n bataa rahii hai.n ki jaage ho raat ko
in saaGaro.n me.n buu-e-sharaab-e-visaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
be-abr ri.nd piite nahii.n vaa.izo sharaab
karte hai.n ye gunaah bhii rahmat ke zor par
Riyaz Khairabadi
Sher
agarche saaGar-e-gul hai tamaam-tar be-buud
chhalak rahaa hai chaman me.n magar sharaab-e-vajuud
Asghar Gondvi
Sher
be-vaj.h nahii.n husn kii tanviir me.n taabish
lau dete hai.n KHaakistar-e-ulfat ke sharaare
Asar Rampuri
Sher
kisii tarah to ghaTe dil kii be-qaraarii bhii
chalo vo chashm nahii.n kam se kam sharaab to ho
Aftab Hussain
Sher
dekhaa jamaal-e-yaar to maKHmuur ho ga.e
be-KHud hai.n be-piye hii ye aisii sharaab hai
Meem Maroof Ashraf
Sher
maane.n jo merii baat muriidaan-e-be-riyaa
de.n shaiKH ko kafan to Dubo kar sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
mujh ko miTTii ke piyaale me.n pilaa taaza sharaab
jism hone lagaa be-kaar ko.ii mastii ho
Nadeem Bhabha
Sher
ba-juz us ke 'ehsaan' ko kyaa samajhiye
bahaaro.n me.n khoyaa hu.aa ik sharaabii
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
'KHaalid' mai.n baat baat pe kahtaa thaa jis ko jaan
vo shaKHs aaKHirash mujhe be-jaan kar gayaa
Khalid Sharif
Sher
baa-ii.n-hama darmaandagii insaa.n ke ye da.ave
kyaa zaat-e-shariif in ko banaayaa hai KHudaa ne
Ismail Merathi
Sher
jab se mu.nh ko lag ga.ii 'aKHtar' mohabbat kii sharaab
be-piye aaTho.n pahar madhosh rahnaa aa gayaa
Akhtar Ansari
Sher
zabaa.n pe tauba kii te kis taraf se aa niklii
abhii gilaas me.n baaqii sharaab keii be hai
Sarfraz Zahid
Sher
ba-qaid-e-vaqt pa.Dhii mai.n ne pa.njgaana namaaz
sharaab piine me.n kuchh ehtiyaat mujh ko nahii.n