SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-takalluf"
Sher MATCHES FOR "be-takalluf"
Sher
chhupaa luu.n 'be-takalluf' mai.n bhii kaTTe
sauudii jaa ke phir chanda karuu.n mai.n
betakalluf shaajapuri
Sher
talKH o shiirii.n be-takalluf jis ko piinaa aa gayaa
mai-kasho piinaa to piinaa us ko jiinaa aa gayaa
Mohammad Hasan Mohsin
Sher
qand-lab kaa un ke bosa be-takalluf le liyaa
gaaliyaa.n khaa.ii.n balaa se mu.nh to miiThaa ho gayaa
Maftoon Dehlvi
Sher
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariiq-e-aashnaa.ii na rusuum-e-jaam-o-baadaa
Mohammad Deen Taseer
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
ek shauhar ek begam ek bhaavaj ek nand
be-takalluf ek hii kholii me.n ho jaate hai.n band
Dilawar Figar
Sher
dekh kar har uzv un kaa dil ho paanii bah chalaa
khol chhaatii be-takalluf jab nahaa.e.n baaG me.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
sar qalam kar de sitamgar dast-o-baazuu kaaT de
be-takalluf haq-ba-jaanib baat honii chaahiye
Arman Khan Arman
Sher
ye shaa.irii kaa takalluf badan pe achchhaa libaas
sab iltizaam usii ek be-vafaa ke liye
Ahsan Gulfam
Sher
'azfarii' Guncha-e-dil band aur aa.ii hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le
Mirza Zahirddin Azfari
Sher
ab itr bhii malo to takalluf kii buu kahaa.n
vo din havaa hu.e jo pasiina gulaab thaa