SEARCH RESULTS
Showing search results for "bedardi-e-haalaat"
Sher MATCHES FOR "bedardi-e-haalaat"
Sher
shikva-e-talKHi-e-haalaat bajaa hai lekin
is pe rotaa huu.n ki mai.n ne bhii rulaayaa hai tujhe
Sahar Ansari
Sher
muKHtalif apnii kahaanii hai zamaane bhar se
munfarid ham Gam-e-haalaat liye phirte hai.n
Aitbar Sajid
Sher
taqdiir ke chehre kii shikan dekh rahaa huu.n
aa.iina-e-haalaat hai duniyaa terii kyaa hai
Saghar Siddiqui
Sher
sirf mausam ke badalne hii pe mauquuf nahii.n
dard bhii suurat-e-haalaat bataa detaa hai
Baqa Baluch
Sher
na terii yaad na duniyaa kaa Gam na apnaa KHayaal
ajiib suurat-e-haalaat ho ga.ii pyaare
Habib Jalib
Sher
jii nahii.n aap se kyaa mujh ko shikaayat hogii
haa.n mujhe talKHi-e-haalaat pe ronaa aayaa
Saifuddin Saif
Sher
chhoTe chhoTe ka.ii be-faiz mafaadaat ke saath
log zinda hai.n ajab suurat-e-haalaat ke saath
Aitbar Sajid
Sher
itnaa paspaa na ho diivaar se lag jaa.egaa
itne samjhaute na kar suurat-e-haalaat ke saath
Aitbar Sajid
Sher
jaane kyaa suurat-e-haalaat raqam thii us me.n
jo varaq chaak hu.aa us ko dobaaraa dekhe.n
Abul Hasanat Haqqi
Sher
rone vaalo.n se kaho un kaa bhii ronaa ro le.n
jin ko majbuuri-e-haalaat ne rone na diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
apnii baato.n ke zamaane to havaa-burd hu.e
ab kiyaa karte hai.n ham suurat-e-haalaat pe baat
Basir Sultan Kazmi
Sher
kuchh KHud bhii huu.n mai.n ishq me.n afsurda o Gamgii.n
kuchh talKHi-e-haalaat kaa ehsaas hu.aa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
chehra-e-haalaat ko achchhii tarah pa.Dh aur phir
aaj kii duniyaa bataa raavan kii hai ki raam kii
Saadat Aabidi
Sher
rasm-e-jahaa.n na chhuuT sakii tark-e-ishq se
jab mil ga.e to pursish-e-haalaat ho ga.ii
Saleem Ahmed
Sher
Hayat Lakhnavi
Sher
kis se shikva kare.n viiraanii-e-hastii kaa 'hayaat'
ham ne KHud apnii tamannaa.o.n ko jiine na diyaa
Masooda Hayat
Sher
agarche vo be-parda aa.e hu.e hai.n
chhupaane kii chiize.n chhupaa.e hu.e hai.n
Ahmad Husain Mail
Sher
naalaa.n huu.n mai.n bedaarii-e-ehsaas ke haatho.n
duniyaa mire afkaar kii duniyaa nahii.n hotii
Sahir Ludhianvi
Sher
bedaad-e-muqaddar se dil meraa ulajhtaa hai
jab aap nazar mujh par kuchh lutf se karte hai.n