SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhatakne"
Sher MATCHES FOR "bhatakne"
Sher
tujhe na maane ko.ii tujh ko is se kyaa majruuh
chal apnii raah bhaTakne de nukta-chiino.n ko
Majrooh Sultanpuri
Sher
manzile.n na bhuule.nge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hii kab hai paa.nv thakne se
Adeeb Saharanpuri
Sher
mai.n kahaa.n tak dil-e-saada ko bhaTakne se bachaa.uu.n
aa.nkh jab uTThe gunahgaar banaa de mujh ko
Irfan Siddiqi
Sher
Azad Gulati
Sher
ajiib bhuul-bhulayyaa.n hai shaahraah-e-hayat
bhaTakne vaale yahaa.n justujuu kii baat na kar
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
ujaa.D taptii hu.ii raah me.n bhaTakne lagii
na jaane phuul ne kyaa kah diyaa thaa titlii se
Nusrat Gwaliari
Sher
pe.Do.n kii ghanii chhaa.nv aur chait kii hiddat thii
aur aise bhaTakne me.n anjaan sii lazzat thii
Zulfeqar Ahmad Tabish
Sher
raah par aa hii ga.e aaj bhaTakne vaale
raahbar dekh vo manzil kaa nishaa.n hai ki nahii.n
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
be-karaa.n dasht-e-tasavvur me.n bhaTakne ke nuquush
mauj-dar-mauj saraabo.n se ubharte ho.nge
Riasath Ali Asrar
Sher
ai bhaTakne ke iraade se nikalne vaalo
ham se kuchh dasht-navardii kaa hunar le jaa.o
Ahmad Sageer
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
ra.ng-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand sham.o.n ke bha.Dakne se sahar hotii nahii.n
Qabil Ajmeri
Sher
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalte
hai ko.ii KHvaab kii taabiir bataane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
ko.ii manzil ke qariib aa ke bhaTak jaataa hai
ko.ii manzil pe pahu.nchtaa hai bhaTak jaane se