SEARCH RESULTS
Showing search results for "bohtaan"
Sher MATCHES FOR "bohtaan"
Sher
aise bohtaan lagaa.e ki KHudaa yaad aayaa
but ne ghabraa ke kahaa mujh se ki qur.aan uThaa
Natiq Gulavthi
Sher
reKHta kaa ik nayaa majzuub hai 'shahpar' rasuul
shohrat us ke naam par ik na.ng hai bohtaan hai
Shehpar Rasool
Sher
patthar ke jigar vaalo Gam me.n vo ravaanii hai
KHud raah banaa legaa bahtaa hu.aa paanii hai
Bashir Badr
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
le chalaa jaan mirii ruuTh ke jaanaa teraa
aise aane se to behtar thaa na aanaa teraa
Dagh Dehlvi
Sher
kisii sabab se agar boltaa nahii.n huu.n mai.n
to yuu.n nahii.n ki tujhe sochtaa nahii.n huu.n mai.n
Iftikhar Mughal
Sher
mai.n boltaa gayaa huu.n vo suntaa rahaa KHaamosh
aise bhii merii haar hu.ii hai kabhii kabhii
Waseem Barelvi
Sher
Ibn e Insha
Sher
jhuuT vaale kahii.n se kahii.n ba.Dh ga.e
aur mai.n thaa ki sach boltaa rah gayaa
Waseem Barelvi
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n
Tahzeeb Hafi
Sher
behtar dino.n kii aas lagaate hu.e 'habiib'
ham behtariin din bhii ga.nvaate chale ga.e
Habeeb Amrohvi
Sher
mai.n boltaa huu.n to ilzaam hai baGaavat kaa
mai.n chup rahuu.n to ba.Dii bebasii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
Zeb Ghauri
Sher
chand tasviir-e-butaa.n chand hasiino.n ke KHutuut
ba.ad marne ke mire ghar se ye saamaa.n niklaa