SEARCH RESULTS
Showing search results for "boliye"
Sher MATCHES FOR "boliye"
Sher
aap kaa lahja shahad jaisaa tarannum-KHez hai
KHaamushii ab to.Diye aur boliye mere liye
Indira Varma
Sher
urdu me.n baat kiijiye urdu me.n boliye
haq hai zabaa.n kaa pyaar kaa ras is me.n gholiye
Aadil Muzaffarpuri
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
yaa to jo naa-fahm hai.n vo bolte hai.n in dino.n
yaa jinhe.n KHaamosh rahne kii sazaa ma.aluum hai
Shuja Khaavar
Sher
sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Dte hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mai.n ne puuchhaa ki hai kyaa shaGl to ha.ns kar bole
aaj kal ham tere marne kii du.aa karte hai.n
Jalal Lakhnavi
Sher
pahlii baar nazro.n ne chaa.nd bolte dekhaa
ham javaab kyaa dete kho ga.e savaalo.n me.n
Bashir Badr
Sher
chup-chaap baiThe rahte hai.n kuchh bolte nahii.n
bachche biga.D ga.e hai.n bahut dekh-bhaal se
Adil Mansuri
Sher
jo dekhtaa huu.n vahii bolne kaa aadii huu.n
mai.n apne shahr kaa sab se ba.Daa fasaadii huu.n
Shakeel Shah
Sher
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshii thii
haa.e ye vaqt ki ab pii ke bhii maKHmuur nahii.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
bolte rahnaa kyuu.nki tumhaarii baato.n se
lafzo.n kaa ye bahtaa dariyaa achchhaa lagtaa hai
Unknown
Sher
'baaqii' jo chup rahoge to uTThe.ngii u.ngliyaa.n
hai bolnaa bhii rasm-e-jahaa.n bolte raho
Baqi Siddiqui
Sher
ye chaman yuu.nhii rahegaa aur hazaaro.n bulbule.n
apnii apnii boliyaa.n sab bol kar u.D jaa.e.ngii