SEARCH RESULTS
Showing search results for "bose"
Sher MATCHES FOR "bose"
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
bose biivii ke ha.nsii bachcho.n kii aa.nkhe.n maa.n kii
qaid-KHaane me.n giraftaar samajhiye ham ko
Fuzail Jafri
Sher
mohabbat ek paakiiza amal hai is liye shaayad
simaT kar sharm saarii ek bose me.n chalii aa.ii
Munawwar Rana
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
jis lab ke Gair bose le.n us lab se 'sheftaa'
kambaKHt gaaliyaa.n bhii nahii.n mere vaaste
Shefta Mustafa Khan
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ruKHsaar par hai ra.ng-e-hayaa kaa faroG aaj
bose kaa naam mai.n ne liyaa vo nikhar ga.e
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Sher
saadgii dekh ki bose kii tama.a rakhtaa huu.n
jin labo.n se ki mayassar nahii.n dushnaam mujhe
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil-lagii me.n hasrat-e-dil kuchh nikal jaatii to hai
bose le lete hai.n ham do-chaar ha.nste bolte
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
kisii buzurg ke bose kii ik nishaanii hai
hamaare maathe pe tho.Dii sii raushnii hai naa
Ahmad Ata
Sher
zabaa.n pe baar-e-KHudaayaa ye kis kaa naam aayaa
ki mere nutq ne bose mirii zabaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
bose me.n ho.nT ulTaa aashiq kaa kaaT khaayaa
teraa dahan maze sii.n pur hai pe hai kaToraa