aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bose"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
lab bayaabaa.n, bose be-jaa.nkaun sii uljhan ko suljhaate hai.n ham?jism kii ye kaar-gaahe.njin kaa haizam aap ban jaate hai.n ham!niim-shab aur shahr-e-KHvaab-aaluudaa, ham-saa.eki jaise duzd-e-shab-gardaa.n ko.ii!shaam se the hasrato.n ke banda-e-be-daam hampii rahe the jaam par har jaam hamye samajh kar jur.a-e-pinhaa.n ko.iishaayad aaKHir ibtidaa-e-raaz kaa iimaa bane!matlab aasaa.n harf be-ma.aniitabassum ke hisaabii zaaviyematn ke sab haashiyejin se aish-KHaam ke naqsh-e-riyaa bante rahe!aur aaKHir bu.ad jismo.n me.n sar-e-muu bhii na thaajab dilo.n ke darmiyaa.n haa.il the sa.ngii.n faaslequrb-e-chashm-o-gosh se ham kaun sii uljhan ko suljhaate rahe!kaun sii uljhan ko suljhaate hai.n ham?shaam ko jab apnii Gam-gaaho.n se duzdaanaa nikal aate hai.n ham?yaa zavaal-e-umr kaa dev-e-subuk-paa ruu-ba-ruuyaa anaa ke dast o paa ko vus.ato.n kii aarzuukaun sii uljhan ko suljhaate hai.n ham?
bad bahut bad-shakl hai.n lekin badii hai naaznii.nja.D ko bose de rahe hai.n pe.D se chii.n-bar-jabii.naap go paanii ulachte hai.n ba-tarz-e-dil-nashii.nnaav kaa suuraaKH lekin band farmaate nahii.n
pathriile kohsaar ke gaate chashmo.n me.nguu.nj rahii hai ek aurat kii narm ha.nsiidaulat taaqat aur shohrat sab kuchh bhii nahii.nus ke badan me.n chhupii hai us kii aazaadiiduniyaa ke ma.abad ke na.e but kuchh kar le.nsun nahii.n sakte us kii lazzat kii siskiiis baazaar me.n go har maal bikaa.uu haiko.ii KHariid ke laa.e zaraa taskiin us kiiik sarshaarii jis se vo hii vaaqif haichaahe bhii to us ko bech nahii.n saktiivaadii kii aavaara havaa.o aa jaa.oaa.o aur us ke chehre par bose doapne lambe lambe baal u.Daatii jaa.ehavaa kii beTii saath havaa ke gaatii jaa.e
jab maah aghan kaa Dhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur ha.ns ha.ns puus sambhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiidin jaldii jaldii chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur paalaa barf pighaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiichillaa Gam Tho.nk uchhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitan Thokar maar pichhaa.Daa ho aur dil se hotii ho kushtii siithar-thar kaa zor ukhaa.Daa ho bajtii ho sab kii battiisiiho shor phaphuu huu-huu kaa aur dhuum ho sii-sii sii-sii kiikalle pe kallaa lag lag kar chaltii ho mu.nh me.n chakkii siihar daa.nt chane se daltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n me.n sardii ne aa baa.ndh diyaa ho ye chakkarjo har dam kap-kap hotii ho har aan ka.Daaka.D aur thar-tharpaiThii ho sardii rag rag me.n aur barf pighaltaa ho pattharjha.D-baa.ndh mahaavaT pa.Dtii ho aur tis par lahre.n le le karsannaaTaa baav kaa chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar chaar taraf se sardii ho aur sehn khulaa ho koThe kaaaur tan me.n niimaa shabnam kaa ho jis me.n KHas kaa itr lagaachhi.Dkaav hu.aa ho paanii kaa aur KHuub pala.ng bhii ho bhiigaahaatho.n me.n piyaala sharbat kaa ho aage ik farraash kha.Daafarraash bhii pa.nkhaa jhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiijab aisii sardii ho ai dil tab roz maze kii ghaate.n ho.nkuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish kii lambii raate.n ho.nmahbuub gale se lipTaa ho aur kuhnii, chuTkii, laate.n ho.nkuchh bose milte jaate ho.n kuchh miiThii miiThii baate.n ho.ndil aish-o-tarab me.n paltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiho farsh bichhaa Gaaliicho.n kaa aur parde chhoTe ho.n aa karik garm a.ngiiThii jaltii ho aur sham.a ho raushan aur tis parvo dilbar, shoKH, parii, chanchal, hai dhuum machii jis kii ghar gharresham kii narm nihaalii par sau naaz-o-adaa se ha.ns ha.ns karpahluu ke biich machaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitarkiib banii ho majlis kii aur kaafir naachne vaale ho.nmu.nh un ke chaa.nd ke Tuk.De ho.n tan un ke ruu.ii ke gaale ho.nposhaake.n naazuk ra.ngo.n kii aur o.Dhe shaal do-shaale ho.nkuchh naach aur rang kii dhuume.n ho.n aish me.n ham matvaale ho.npiyaale par pyaala chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n ho KHalvat kaa aur aish kii sab tayyaarii hovo jaan ki jis se jii Gash ho sau naaz se aa jhankaarii hodil dekh 'naziir' us kii chhab ko har aan adaa par vaarii hosab aish muhayyaa ho aa kar jis jis armaan kii baaii hojab sab armaan nikaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kii
mire ho.nTo.n pe us ke aaKHirii bose kii lazzat sabt haivo us kaa aaKHirii bosajo mustaqbil ke har ik KHauf se aazaadik raushan sitaaraa thaaguzartii raat ke na.nge badan par til kii suurat qaa.em-o-daa.emhamesha jaagne vaalaa sitaaraamai.n jise is aag barsaate hu.e suuraj ke aagejagmagaataa dekh saktaa huu.n
darvaaza-e-jaa.n se ho karchupke se idhar aa jaa.ois barf bharii borii kopiichhe kii taraf sarkaa.ohar ghaav pe bose chi.Dkohar zaKHm ko tum sahlaa.omai.n taaro.n kii is shab kotaqsiim karuu.n yuu.n sab kojaagiir ho jaise meriiye arz na tum Thukraa.ochupke se idhar aa jaa.o
kuchh kisaan kanyaa.e.nsabz o surKH shiisho.n kiichuu.Diyaa.n kalaa.ii me.naur galaT kii chaa.ndii kiiha.nsuliyo.n se gardan me.nniim chaa.nd ke halqecholiyo.n pe lahngo.n parzard zard miTTii kezard bel-buuTe semaile maile aa.nchal parbaaliyo.n ke bose hai.nun ke haath me.n ha.nsiegiit gaane lagte hai.njhuum jhuum kar paudeapnaa sar jhukaate hai.nnau-javaan laThyaarekhet kii mu.nDero.n parprem giit gaate hai.nai mire hasii.n-KHvaabotum inhe.n bahaaro.n kiiko.npalo.n se phuuTe hoek kaar-KHaane me.nchand nau-javaano.n neanjuman banaa.ii haiaur is me.n lenin kiiik kitaab pa.Dhte hai.nsun rahii hai.n diivaare.nha.ns rahii hai taariikiinau-javaan baiThe hai.naur kitaab pa.Dhte hai.nek ek jumle parchau.nk chau.nk pa.Dte hai.nek ek fiqre parapnaa sar hilaate hai.ngaah aah bharte hai.ngaah muskuraate hai.nmai.n ne un ke siino.n me.nai mire hasii.n-KHvaabotum ko naachte dekhaamai.n ne tum ko dekhaa haijab siyaah mehraabe.naasmaa.n pe bantii hai.njab sukuut kii pariyaa.nkahkashaa.n pe chaltii hai.ngesu.o.n kii nik.hat sejab havaa mahaktii hai.njab fazaa chahaktii haimere garm ho.nTo.n parpyaar thartharaate hai.naur merii mahbuubaapne ra.ng-e-aariz sebijliyaa.n banaatii haiaur merii nazro.n me.nik jahaan miTtaa haiik jahaan bantaa haiik zamiin haTtii haiik zamiin aatii hai
narm shabnamii bosemotiyo.n ke daa.nto.n sekhilkhilaa ke ha.nste hai.nraat KHuub-suurat hainii.nd kyuu.n nahii.n aatii
phuul hai.n, ghaas hai, ashjaar hai.n, diivaare.n hai.naur kuchh saa.e ki hai.n muKHtasar o tiira-o-taar,tujh ko kyaa is se Garaz hai ki KHudaa hai ki nahii.n?dekh patto.n me.n laraztii hu.ii kirno.n kaa nafuuzsarsaraatii hu.ii ba.Dhtii hai rago.n me.n jaiseavvalii.n baada-gusaarii me.n na.ii tund sharaabtujh ko kyaa is se Garaz hai ki KHudaa hai ki nahii.nkahkashaa.n apnii tamannaa.o.n kaa hai raah-guzaarkaash is raah pe mil kar kabhii parvaaz kare.nik na.ii ziist kaa dar baaz kare.n!aasmaa.n duur hai lekin ye zamii.n hai nazdiikaa isii KHaak ko ham jalva-gah-e-raaz kare.n!ruuhe.n mil saktii nahii.n hai.n to ye lab hii mil jaa.e.n,aa isii lazzat-e-jaaved kaa aaGaaz kare.n!sub.h jab baaG me.n ras lene ko zambuur aa.eus ke bose se ho.n mad.hosh saman aur gulaabshabnamii ghaas pe do paikar-e-yaKH-basta mile.n,aur KHudaa hai to pashemaa.n ho jaa.e!
mohabbat aah terii ye mohabbat raat bhar kii haitirii ra.ngiin KHalvat kii lataafat raat bhar kii haitire shaadaab ho.nTo.n kii inaayat raat bhar kii haitire mastaana boso.n kii halaavat raat bhar kii haimah-e-raushan hai tuu aur terii tal.at raat bhar kii haigul-e-shabbuu hai tuu aur terii nik.hat raat bhar kii haituu kyaa jaane ki saudaa-e-mohabbat kis ko kahte hai.nmohabbat aur mohabbat kii lataafat kis ko kahte hai.nGam-e-hijraa.n hai kyaa aur soz-e-ulfat kis ko kahte hai.njunuu.n hotaa hai kaisaa aur vahshat kis ko kahte hai.ntuu kyaa jaane Gam-e-shab-haa-e-furqat kis ko kahte hai.ntire iz.haar-e-ulfat kii fasaahat raat bhar kii hainigaah-e-mast se dil ko mire ta.Dpaa rahii hai tuuada-e-shauq se jazbaat ko bha.Dkaa rahii hai tuumujhe bachche kii suurat naaz se phuslaa rahii hai tuukhilaune de ke boso.n ke mujhe bahlaa rahii hai tuumagar naadaan hai tuu aah dhokaa khaa rahii hai tuutiraa ruu-e-daraKHshaa.n hai ba-zaahir maahtaab-aasaatire ho.nTo.n kii shaadaabii hai ra.ngat me.n sharaab-aasaatire ruKHsaar kii mahtaabiyaa.n hai.n aaftaab-aasaamagar in kii haqiiqat hai habaab-aasaa saraab-aasaaki Gaaze kii sabaahat us pe chhaa.ii hai naqaab-aasaaaur is Gaaze kii bhii jhuuTii sabaahat raat bhar kii haiye maanaa terii KHalvat kii fazaa ruuh-e-gulistaa.n haitirii KHalvat kaa har faanuus ik mahtaab-e-larzaa.n haitiraa abreshmii bistar nahii.n ik KHvaab-e-KHandaa.n haitiraa jism aafat-e-dil teraa siina aafat-e-jaa.n haituu ik zinda sitaara hai jo tanhaa.ii me.n taabaa.n haimagar kahte hai.n taaro.n kii hukuumat raat bhar kii hailataafat se hai.n KHaalii tere kumhlaa.e hu.e bosetaraavat se hai.n KHaalii tere murjhaa.e hu.e bosenazaakat se hai.n KHaalii tere ghabraa.e hu.e bosehaqiiqat se hai.n KHaalii tere sharmaa.e hu.e bosemohabbat se hai.n KHaalii tere ghabraa.e hu.e boseaur in boso.n kii ye jhuuTii halaavat raat bhar kii haitire zahriile bose mujh ko jis dam yaad aa.e.ngemire ho.nTo.n pe kaale naag ban kar thartharaa.e.ngepashemaanii ke jazbe mujh ko diivaana banaa.e.ngemire inkaar ko nafrat ke KHanjar gudgudaa.e.ngemire dil kii rago.n me.n Gam ke sho.ale tair jaa.e.ngemai.n samjhaa! aah samjhaa! ye masarrat raat bhar kii haimujhe diivaana karne kii masarrat be-KHabar kab takrahegii mere dil me.n terii ulfat kaargar kab takmujhe mas.huur rakkhegaa ye ishq-e-be-samar kab takhaqiiqat kii sahar aaKHir na hogii parda-dar kab takmujhe maGluub kar ke KHush hai tuu zaalim magar kab taktirii ye fat.h merii ye haziimat raat bhar kii hai
us ne hatheliyo.n ke gadderaga.D raga.D kevo taaliyaa.n u.Daa.ii.nmeh.ndii ke ra.ngtitlii ban ke havaa me.napne par taulne lage thephir jaan-daar ho.nTo.nse paan-daar bosechhan chhan chhalak chhalak kehar manchalii nazar me.nras gholne lage thevo aaj lahr me.n thaamissii kii chhab dikhaa kenathane phulaa phulaa keu.nglii nachaa nachaa keus ne maze me.n aa keha.ns kar kahaa ki ''saalo''mai.n to janam janam seapne hii aa.nsu.o.n me.nDuubaa hu.aa pa.Daa huu.nshaayad zamiir-e-aalam keta.ng maqbare me.nzinda ga.Daa hu.aa huu.n
ruuh kaa iz.haar the bose mirejaise merii shaa.irii meraa amalruuh kaa iz.haar kaise bhuul jaa.uu.nkaise kar Daaluu.n mai.n jism-o-ruuh koaaj be-aaha.ng-o-nuurtuu ki thii us vaqt gum-naamii ke Gaaro.n me.n nihaa.nmere ho.nTo.n hii ne dii tujh ko najaatapnii raaho.n par uThaa laayaa tujhezinda-e-jaaved kar Daalaa tujhejaise ko.ii but-taraashapne but ko zindagii ke nuur se taabaa.n kareis ko barg-o-baar dene ke liyeapne jism-o-ruuh ko uryaa.n karemere bose ruuh kaa iz.haar theruuh jo iz.haar hii se zinda-o-taabinda haihai isii iz.haar se haasil mujhe qurb-e-hayaatruuh kaa iz.haar kaise bhuul jaa.uu.n
KHudaa hashr me.n ho madad-gaar meraaki dekhii hai.n mai.n ne mrs.-saalaa-maa.nkaa kii aa.nkhe.nmrs.-saalaa-maa.nkaa kii aa.nkhe.nki jin ke ufuq hai.n junuubii samundar kii niilii rasaa.ii se aagejunuubii samundar kii niilii rasaa.iiki jis ke jaziire hujuum-e-sahar se daraKHshaa.ndaraKHshaa.n jaziiro.n me.n zartaab o unnaab o qurmuz parindo.n kii jaulaa.n-gahe.naise phailii hu.ii jaise jannat ke daamaa.nparinde azal aur abad ke mah o saal me.n baal-afshaa.n!KHudaa hashr me.n ho madad-gaar meraaki mai.n ne liye hai.n mrs.-saalaa-ma.nkaa ke ho.nTo.n ke bosevo bose ki jin kii halaavat ke chashmeshumaalii zamiino.n ke zartaab o unnaab o qurmuz daraKHto.nke mad.hosh baaGo.n se aagejahaa.n zindagii ke rasiida shaguufo.n ke siino.nse KHvaabo.n ke ram-diida zambuur lete hai.n ras aur piite hai.n voki jis ke nashe kii jilaa sezamaano.n kii naadiida mehraab ke do kinaaro.n ke niichehai.n yak-baargii guu.nj uThte KHalaa o malaa ke jalaajiljalaajil ke naGme baham aise paivast hote hai.n jaisemrs.-saalaa-ma.nikaa ke lab mere lab se!
ek paimaana-e-mai-e-sarjoshlutf-e-guftaar garmi-e-aaGoshbose is darja aatishii.n bosephuu.nk Daale.n jo merii kisht-e-hosh
badal ga.e hozaraa se arse me.n aah kaise badal ga.e hotumhe.n KHabar haivo haath dhartii ne khaa liye hai.njinho.n ne apnii hatheliyo.n me.nhamaarii KHaatir faqat du.aa.e.n bharii hu.ii thii.ntumhe.n pata haivo ho.nT miTTii me.n jha.D rahe hai.nhamaare chehro.n pe jin ke bose ju.De hu.e hai.nvo aa.nkhe.n andhii lahad me.n shaayad bikhar chukii ho.nvo shab ga.e takhamaarii raaho.n me.n apnii kirne.n bikhertii thii.nhamaare nam ko numuud de karzamii.n ko apnaa vajuud de karkahaa.n ga.e hozamii.n ke nam me.n hamaare paikar pighal ga.e hai.nbadal ga.e ho to aa.o dekhoki ham bhii kitne badal ga.e hai.n
mire bedroom me.n zero ke balb kii...lahuu-ra.ng raushnii sahmii hu.ii hailihaaf o.Dhe badan TuuTe pa.De hai.nsirhaane jaagte hai.n narm bosedahaktii hai.n KHumaar-aaluud aa.nkhe.nmahaktii hai.n, ukha.Dtii garm saa.nse.nmagar saa.nso.n me.n dil aTke hu.e hai.nlahuu-ra.ng raushnii sahmii hu.ii haimai.n kachchii nii.nd se jaagaa hu.aa huu.nvo kachchii umr kii TuuTii hu.ii hai
hamaarii umr-e-ravaa.n kii shabnamtirii siyah kaakulo.n kii raato.nme.n taar chaa.ndii ke guu.ndh degiitire hasii.n aarizo.n ke ra.ngii.ngulaab bele ke phuul ho.ngeshafaq kaa har rang Garq hogaalatiif o pur-kaif chaa.ndnii me.ntirii kitaab-e-ruKH-e-javaa.n parki jo Gazal kii kitaab hai abzamaana likkhegaa ik kahaaniiaur an-ginat jhurriyo.n ke andarmirii mohabbat ke saare bosehazaar lab ban ke ha.ns pa.De.nge
vabaa ke dino.n me.n mohabbat karne vaale logalvidaa'ii bose kaa haq kho dete hai.n
iz.haar-e-mohabbat ke liye tum apne bosekaaGaz me.n lapeT kar bhej saktii hojis tarah mai.n ne apne jazbetumhe.n post kar diye hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books