Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasin-tar

Ali Sardar Jafri

hasin-tar

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    kal ek hogī aur ik maiñ

    koī raqīb-e-rafīq-sūrat

    koī rafīq-e-raqīb-sāmāñ

    mire tire darmiyāñ na hogā

    hamārī umr-e-ravāñ shabnam

    tirī siyah kākuloñ rātoñ

    meñ taar chāñdī ke gūñdh degī

    tire hasīñ ārizoñ ke rañgīñ

    gulāb bele ke phuul hoñge

    shafaq har rañg ġharq hogā

    latīf o pur-kaif chāñdnī meñ

    tirī kitāb-e-ruḳh-e-javāñ par

    ki jo ġhazal kitāb hai ab

    zamāna likkhegā ik kahānī

    aur an-ginat jhurriyoñ ke andar

    mirī mohabbat ke saare bose

    hazār lab ban ke hañs paḌeñge

    ham apnī biitī huī shaboñ

    salonī parchhā.iyoñ ko le kar

    ham apne ahd-e-tarab shaam o

    sahar rānā.iyoñ ko le kar

    purānī yādoñ ke jism-e-uryāñ

    ke vāste pairahan buneñge

    phir ek hogī aur ik maiñ

    koī raqīb-e-rafīq-sūrat

    ko rafīq-e-raqīb-sāmāñ

    mire tire darmiyāñ na hogā

    havas nazroñ ko tere ruḳh par

    jamāl-e-nau gumāñ na hogā

    faqat mirī husn-e-āzmūda

    nazar ye tujh ko batā sakegī

    ki terī piirī husn tere

    shabāb se bhī hasīn-tar hai

    kal ek tu hogi aur ek main

    koi raqib-e-rafiq-surat

    koi rafiq-e-raqib-saman

    mere tere darmiyan na hoga

    hamari umr-e-rawan ki shabnam

    teri siyah kakulon ki raaton

    mein tar chandi ke gundh degi

    tere hasin aarizon ke rangin

    gulab bele ke phul honge

    shafaq ka har rang gharq hoga

    latif o pur-kaif chandni mein

    teri kitab-e-ruKH-e-jawan par

    ki jo ghazal ki kitab hai ab

    zamana likkhega ek kahani

    aur an-ginat jhurriyon ke andar

    meri mohabbat ke sare bose

    hazar lab ban ke hans paDenge

    hum apni biti hui shabon ki

    saloni parchhaiyon ko le kar

    hum apne ahd-e-tarab ki sham o

    sahar ki ranaiyon ko le kar

    purani yaadon ke jism-e-uryan

    ke waste pairahan bunenge

    phir ek tu hogi aur ek main

    koi raqib-e-rafiq-surat

    ko rafiq-e-raqib-saman

    mere tere darmiyan na hoga

    hawas ki nazron ko tere ruKH par

    jamal-e-nau ka guman na hoga

    faqat meri husn-e-azmuda

    nazar ye tujh ko bata sakegi

    ki teri piri ka husn tere

    shabab se bhi hasin-tar hai

    Source:

    Ek Khvab aur (Pg. 95)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now