kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
lab bayābāñ, bose be-jāñ
kaun sī uljhan ko suljhāte haiñ ham?
jism kī ye kār-gāheñ
jin kā haizam aap ban jaate haiñ ham!
nīm-shab aur shahr-e-ḳhvāb-ālūdā, ham-sā.e
ki jaise duzd-e-shab-gardāñ koii!
shaam se the hasratoñ ke banda-e-be-dām ham
pī rahe the jaam par har jaam ham
ye samajh kar jur.a-e-pinhāñ koī
shāyad āḳhir ibtidā-e-rāz kā iimā bane!
matlab āsāñ harf be-ma.anī
tabassum ke hisābī zāviye
matn ke sab hāshiye
jin se aish-ḳhām ke naqsh-e-riyā bante rahe!
aur āḳhir buad jismoñ meñ sar-e-mū bhī na thā
jab diloñ ke darmiyāñ haa.il the sañgīñ fāsle
qurb-e-chashm-o-gosh se ham kaun sī uljhan ko suljhāte rahe!
kaun sī uljhan ko suljhāte haiñ ham?
shaam ko jab apnī ġham-gāhoñ se duzdānā nikal aate haiñ ham?
yā zavāl-e-umr kā dev-e-subuk-pā rū-ba-rū
yā anā ke dast o pā ko vus.atoñ kī aarzū
kaun sī uljhan ko suljhāte haiñ ham?
Which Mystery Do We Unravel ?
lab bayaban, bose be-jaan
kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
jism ki ye kar-gahen
jin ka haizam aap ban jate hain ham!
nim-shab aur shahr-e-KHwab-aluda, ham-sae
ki jaise duzd-e-shab-gardan koi!
sham se the hasraton ke banda-e-be-dam hum
pi rahe the jam par har jam hum
ye samajh kar jura-e-pinhan koi
shayad aaKHir ibtida-e-raaz ka ima bane!
matlab aasan harf be-mani
tabassum ke hisabi zawiye
matn ke sab hashiye
jin se aish-KHam ke naqsh-e-riya bante rahe!
aur aaKHir buad jismon mein sar-e-mu bhi na tha
jab dilon ke darmiyan hail the sangin fasle
qurb-e-chashm-o-gosh se hum kaun si uljhan ko suljhate rahe!
kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
sham ko jab apni gham-gahon se duzdana nikal aate hain ham?
ya zawal-e-umr ka dew-e-subuk-pa ru-ba-ru
ya ana ke dast o pa ko wusaton ki aarzu
kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
Which Mystery Do We Unravel ?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.