SEARCH RESULTS
Showing search results for "bulaate"
Sher MATCHES FOR "bulaate"
Sher
uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
masjid me.n bulaate hai.n hame.n zaahid-e-naa-fahm
hotaa kuchh agar hosh to mai-KHaane na jaate
Ameer Minai
Sher
Raza Mauranvi
Sher
phir ishaaro.n se bulaate hai.n vo apnii jaanib
aur jo ye bhii nigah-e-shauq kaa dhoka niklaa
Hazin Siddiqi
Sher
ye kis zamii.n kii kashish khii.nchtii hai mere qadam
ye kaun log bulaate hai.n mujh ko apnii taraf
Aziz Nabeel
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
Allama Iqbal
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
kitne aish se rahte ho.nge kitne itraate ho.nge
jaane kaise log vo ho.nge jo us ko bhaate ho.nge
Jaun Eliya
Sher
apnaa zamaana aap banaate hai.n ahl-e-dil
ham vo nahii.n ki jin ko zamaana banaa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
tum se chhuT kar bhii tumhe.n bhuulnaa aasaan na thaa
tum ko hii yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye
Nida Fazli
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
sunaa hai hame.n vo bhulaane lage hai.n
to kyaa ham unhe.n yaad aane lage hai.n