SEARCH RESULTS
Showing search results for "but-e-arbada-juu"
Sher MATCHES FOR "but-e-arbada-juu"
Sher
but-e-kaafir jo tuu mujh se KHafaa ho
nahii.n kuchh KHauf meraa bhii KHudaa hai
Bhartendu Harishchandra
Sher
buu-e-iqraar bhii aatii ho jo inkaar ke saath
aise inkaar pasandiida hai.n iqraar ke saath
Unknown
Sher
jii chaahtaa hai us but-e-kaafir ke ishq me.n
tasbiih to.D Daaliye zunnaar dekh kar
Aagha Akbarabadi
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
gale me.n apne pahnaa hai jo tuu ne ai but-e-kaafir
mirii tasbiih ko hai rashk zunnaar-e-barahman par
Meer Kallu Arsh
Sher
taariiKH-e-kaa.enaat-e-ibaadat junuu.n se hai
unvaan-e-aql-o-hosh hai diivaangii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
lagaa.ii kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par
subuu-ba-dosh hai saaqii jo aabla dil kaa
Shah Naseer
Sher
dimaaG de jo KHudaa gulshan-e-mohabbat me.n
har ek gul se tire pairahan kii buu aa.e
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
chhupaa na raaz mohabbat kaa buu-e-gul kii tarah
jo baat dil me.n thii vo darmiyaa.n nikal aa.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
iimaan jaa.e yaa rahe jo ho balaa se ho
ab to nazar me.n vo but-e-kaafir samaa gayaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
us gul-badan kii buu-e-badan kuchh na puuchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
qadr kuchh bhii mire dil kii but-e-kaafir ne na kii
zulf-e-pechaa.n se jo uljhaa to mire sar maaraa
Muztar Khairabadi
Sher
buu-e-gul naala-e-dil duud-e-charaaG-e-mahfil
jo tirii bazm se niklaa so pareshaa.n niklaa
Mirza Ghalib
Sher
lagaa.ii.n taak ke us mast ne jo talvaare.n
dahaan-e-zaKHm-e-badan se bhii aa.e buu-e-sharaab