SEARCH RESULTS
Showing search results for "buzurgo.n"
Sher MATCHES FOR "buzurgo.n"
Sher
vo vaqt aur the ki buzurgo.n kii qadr thii
ab ek buu.Dhaa baap bhare ghar pe baar hai
Moin Shadab
Sher
vo itr-daan saa lahja mire buzurgo.n kaa
rachii-basii hu.ii urdu zabaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
zinda rakhii.n buzurgo.n kii ham ne rivaayate.n
dushman se bhii mile to mile aajizii se ham
Majid Ali Kavish
Sher
phe.nkii na 'munavaar' ne buzurgo.n kii nishaanii
dastaar puraanii hai magar baa.ndhe hu.e hai
Munawwar Rana
Sher
abhii to ghar me.n na baiThe.n kaho buzurgo.n se
abhii to shahr ke bachche salaam karte hai.n
Abbas Tabish
Sher
ham buzurgo.n kii rivaayat se ju.De hai.n bhaa.ii
nekiyaa.n kar ke kabhii phal nahii.n maa.ngaa karte
Tufail Chaturvedi
Sher
hamaarii umr se ba.Dh kar ye bojh Daalaa gayaa
so ham ba.Do.n se buzurgo.n kii tarah milte hai.n
Ahmad Ata
Sher
ab bhii raushan hai.n buzurgo.n kii havelii ke charaaG
ham kisii naqsh ko dhu.ndlaa nahii.n hone dete
Zeeshan Niyazi
Sher
dekhnaa saath hii chhuuTe na buzurgo.n kaa kahii.n
patte pe.Do.n pe lage ho.n to hare rahte hai.n
Waseem Barelvi
Sher
Hamid Mukhtar Hamid
Sher
Munawwar Rana
Sher
is qadar naaz na kiije ki buzurgo.n ne bahut
baarhaa bazm-e-KHud-aaraa.ii sajaa.ii hu.ii hai
Afeef Siraj
Sher
lahuu se jin ke hai raushan ye KHaanqaah-e-junuu.n
hamaare sar pe hai saaya unhii.n buzurgo.n kaa
Zia Faooqui
Sher
inhii jhuke hu.e pe.Do.n se guftuguu hai mirii
janaab mere buzurgo.n se guftuguu hai mirii
Zahoor Chohan
Sher
unhe.n bataa.o buzurgo.n kaa hai karam is par
'hilaal' achchhaa suKHanvar isii liye to hai
Hilal Badayuni
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n