SEARCH RESULTS
Showing search results for "buzurgo.n"
Ghazal MATCHES FOR "buzurgo.n"
Ghazal
mahbuub kaa ghar ho ki buzurgo.n kii zamiine.n
jo chho.D diyaa phir use mu.D kar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Ghazal
pahu.nchaa hai buzurgo.n ke bayaano.n se jo ham tak
kyaa baat hu.ii kyuu.n vo zamaana nahii.n aataa
Waseem Barelvi
Ghazal
ravish buzurgo.n kii shaamil hai merii ghuTTii me.n
zaruuratan bhii sakhii kii taraf nahii.n dekhaa
Munawwar Rana
Ghazal
vaz'-daarii to buzurgo.n kii amaanat hai magar
ab ye bikte hu.e zevar nahii.n dekhe jaate
Meraj Faizabadi
Ghazal
chaa.nd taare mire qadmo.n me.n bichhe jaate hai.n
ye buzurgo.n kii du.aa.o.n kaa asar lagtaa hai
Anjum Rehbar
Ghazal
Shahzad Ahmad
Ghazal
facebook vaqt agar de to ye pyaare bachche
apne KHaamosh buzurgo.n kii shikaayat samjhe.n
Ali Zaryoun
Ghazal
vo itr-daan saa lahja mire buzurgo.n kaa
rachii-basii hu.ii urdu zabaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Ghazal
mere hii buzurgo.n ne sar-bulandiyaa.n baKHshii.n
mere hii qible par mashq-e-sa.ng-baarii hai
Manzar Bhopali
Ghazal
abhii to ghar me.n na baiThe.n kaho buzurgo.n se
abhii to shahr ke bachche salaam karte hai.n
Abbas Tabish
Ghazal
phe.nkii na 'munavvar' ne buzurgo.n kii nishaanii
dastaar puraanii hai magar baa.ndhe hu.e hai