SEARCH RESULTS
Showing search results for "chaahtii"
Sher MATCHES FOR "chaahtii"
Sher
duniyaa to chaahtii hai yuu.nhii faasle rahe.n
duniyaa ke mashvaro.n pe na jaa us galii me.n chal
Habib Jalib
Sher
aur kyaa chaahtii hai gardish-e-ayyaam ki ham
apnaa ghar bhuul ga.e un kii galii bhuul ga.e
Jaun Eliya
Sher
ab aa.e.n yaa na aa.e.n idhar puuchhte chalo
kyaa chaahtii hai un kii nazar puuchhte chalo
Sahir Ludhianvi
Sher
jo chaahtii duniyaa hai vo mujh se nahii.n hogaa
samjhautaa ko.ii KHvaab ke badle nahii.n hogaa
Shahryar
Sher
ruuh ko ruuh se milne nahii.n detaa hai badan
KHair ye biich kii diivaar giraa chaahtii hai
Irfan Siddiqi
Sher
dafnaa diyaa gayaa mujhe chaa.ndii kii qabr me.n
mai.n jis ko chaahtii thii vo la.Dkaa Gariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
kyaa chaahtii hai ham se hamaarii ye zindagii
kyaa qarz hai jo ham se adaa ho nahii.n rahaa
Kashif Husain Ghair
Sher
KHamoshii merii lai me.n gungunaanaa chaahtii hai
kisii se baat karne kaa bahaanaa chaahtii hai
Abdur Rauf Urooj
Sher
mai.n ne itnaa use chaahaa hai ki vo jaan-e-muraad
KHud ko zanjiir-e-mohabbat se rihaa chaahtii hai
Irfan Siddiqi
Sher
us kii bechainii ba.Dhaanaa chaahtii huu.n
suniye kah kar chup lagaanaa chaahtii huu.n
Pooja Bhatiya
Sher
band kamre me.n tiraa dard na bujh jaa.e kahii.n
khi.Dkiyaa.n khol ki ye aag havaa chaahtii hai
Faheem Jogapuri
Sher
shirkat-e-Gam bhii nahii.n chaahtii Gairat merii
Gair kii ho ke rahe yaa shab-e-furqat merii
Dagh Dehlvi
Sher
ajab Thahraa.o paidaa ho rahaa hai roz o shab me.n
mirii vahshat ko.ii taaza aziyyat chaahtii hai
Ahmad Ashfaq
Sher
KHushaamad ai dil-e-betaab is tasviir kii kab tak
ye bolaa chaahtii hai par na bolegii na bolii hai