SEARCH RESULTS
Showing search results for "chaap"
Sher MATCHES FOR "chaap"
Sher
har ek baat ko chup-chaap kyuu.n sunaa jaa.e
kabhii to hausla kar ke nahii.n kahaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
tum raah me.n chup-chaap kha.De ho to ga.e ho
kis kis ko bataa.oge ki ghar kyuu.n nahii.n jaate
Ameer Qazalbash
Sher
chup-chaap baiThe rahte hai.n kuchh bolte nahii.n
bachche biga.D ga.e hai.n bahut dekh-bhaal se
Adil Mansuri
Sher
tuu aag me.n ai aurat zinda bhii jalii barso.n
saa.nche me.n har ik Gam ke chup-chaap Dhalii barso.n
Habib Jalib
Sher
Musavvir Sabzwari
Sher
us dariiche me.n bhii ab ko.ii nahii.n aur ham bhii
sar jhukaa.e hu.e chup-chaap guzar jaate hai.n
Javed Akhtar
Sher
ko.ii halchal hai na aahaT na sadaa hai ko.ii
dil kii dahliiz pe chup-chaap kha.Daa hai ko.ii
Khurshid Ahmad Jami
Sher
Unknown
Sher
bas ek apne hii qadmo.n kii chaap suntaa huu.n
mai.n kaun huu.n ki bhare shahr me.n bhii tanhaa huu.n
Mahmood Shaam
Sher
abhii safar me.n ko.ii mo.D hii nahii.n aayaa
nikal gayaa hai ye chup-chaap daastaan se kaun
Akhtar Shumar
Sher
ga.e zamaane kii chaap jin ko samajh rahe ho
vo aane vaale udaas lamho.n kii siskiyaa.n hai.n
Aanis Moin
Sher
mai.n ne qubuul kar liyaa chup chaap vo gulaab
jo shaaKH de rahii thii tirii or se mujhe
Charagh Sharma
Sher
chashm-e-jahaa.n se haalat-e-aslii chhupii nahii.n
aKHbaar me.n jo chaahiye vo chhaap diijiye