SEARCH RESULTS
Showing search results for "chain"
Sher MATCHES FOR "chain"
Sher
dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahne na diyaa
jab chalii sard havaa mai.n ne tujhe yaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
ab to ghabraa ke ye kahte hai.n ki mar jaa.e.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaa.n
mile to us ko hamaaraa ko.ii salaam kahe
Kaleem Aajiz
Sher
tark-e-ta.alluqaat pe royaa na tuu na mai.n
lekin ye kyaa ki chain se soyaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Nida Fazli
Sher
ik mai.n huu.n ki lahro.n kii tarah chain nahii.n hai
ik vo hai ki KHaamosh samundar kii tarah hai
Ahmad Ziya
Sher
dil ko KHudaa kii yaad tale bhii dabaa chukaa
kam-baKHt phir bhii chain na paa.e to kyaa karuu.n
Hafeez Jalandhari
Sher
mai.n raat TuuT ke royaa to chain se soyaa
ki dil kaa zahr mirii chashm-e-tar se niklaa thaa
Ahmad Faraz
Sher
dil-e-betaab ke hamraah safar me.n rahnaa
ham ne dekhaa hii nahii.n chain se ghar me.n rahnaa
Ahmad Javaid
Sher
Unknown
Sher
kuchh mohabbat ko na thaa chain se rakhnaa manzuur
aur kuchh un kii inaayaat ne jiine na diyaa
Kaif Bhopali
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
milaa na ghar se nikal kar bhii chain ai 'zaahid'
khulii fazaa me.n vahii zahr thaa jo ghar me.n thaa