SEARCH RESULTS
Showing search results for "chalat-phirat"
Sher MATCHES FOR "chalat-phirat"
Sher
musaafiraana rahaa is saraa-e-hastii me.n
chalaa phiraa mai.n zamaane me.n rahguzar kii tarah
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
chalaa thaa zikr zamaane kii bevafaa.ii kaa
so aa gayaa hai tumhaaraa KHayaal vaise hii
Ahmad Faraz
Sher
dil ko tirii chaahat pe bharosa bhii bahut hai
aur tujh se bichha.D jaane kaa Dar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Sher
chalaa hai chho.D ke tanhaa kidhar tasavvur-e-yaar
shab-e-firaaq me.n thaa tujh se mashGala dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
kuchh is tarah qariib vo aayaa mire liye
us kii tavajjoh pyaar me.n chaahat kaa ghar hu.ii
Farah Shahid
Sher
fazaa udaas hai rut muzmahil hai mai.n chup huu.n
jo ho sake to chalaa aa kisii kii KHaatir tuu
Ahmad Faraz
Sher
zauq-e-nazzaara usii kaa hai jahaa.n me.n tujh ko
dekh kar bhii jo liye hasrat-e-diidaar chalaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
tere qaamat se bhii lipTii hai amar-bel ko.ii
merii chaahat ko bhii duniyaa kii nazar khaa ga.ii dost
Ahmad Faraz
Sher
Farhat Ehsas
Sher
jin ko nii.ndo.n kii na ho chaadar nasiib
un se KHvaabo.n kaa hasii.n bistar na maa.ng
Tahir Faraz
Sher
isii kha.nDar me.n kahii.n kuchh diye hai.n TuuTe hu.e
inhii.n se kaam chalaa.o ba.Dii udaas hai raat
Firaq Gorakhpuri
Sher
chhalak ke kam na ho aisii ko.ii sharaab nahii.n
nigaah-e-nargis-e-ra.anaa tiraa javaab nahii.n