SEARCH RESULTS
Showing search results for "chalne"
Sher MATCHES FOR "chalne"
Sher
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
rail dekhii hai kabhii siine pe chalne vaalii
yaad to ho.nge tujhe haath hilaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
kaarvaa.n ke chalne se kaarvaa.n ke rukne tak
manzile.n nahii.n yaaro raaste badalte hai.n
Sahba lakhnavi
Sher
Munawwar Rana
Sher
apnii miTTii hii pe chalne kaa saliiqa siikho
sa.ng-e-marmar pe chaloge to phisal jaa.oge
Iqbal Azeem
Sher
utar ke naav se bhii kab safar tamaam hu.aa
zamii.n pe paa.nv dharaa to zamiin chalne lagii
Shakeb Jalali
Sher
Bashir Badr
Sher
sambhal ke chalne kaa saaraa Guruur TuuT gayaa
ik aisii baat kahii us ne la.Dkha.Daate hu.e
Azhar Inayati
Sher
chalne kii nahii.n aaj ko.ii ghaat kisii kii
sun.ne ke nahii.n vasl me.n ham baat kisii kii
Bekhud Dehlvi
Sher
Aabid Adeeb
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
kaun kitnaa zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko
rail jab chalne lagegii faisla ho jaa.egaa
Khwaja Sajid
Sher
kuchh aisii pilaa de mujhe ai piir-e-muGaa.n aaj
qai.nchii kii tarah chalne lagii merii zabaa.n aaj
Aagha Akbarabadi
Sher
goggle lagaa ke aa.nkh par chalne lage hasiin
vo lutf ab kahaa.n nigah-e-niim-baaz kaa