SEARCH RESULTS
Showing search results for "chashm-e-raqiib"
Sher MATCHES FOR "chashm-e-raqiib"
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
uTThii hai chashm-e-saaqii-e-mai-KHaana bazm par
ye vaqt vo nahii.n ki halaal-o-haraam dekh
Firaq Gorakhpuri
Sher
Shah Naseer
Sher
ai chashm-e-iltifaat ke maare hu.e sambhal
ye husn-e-ittifaaq hai husn-e-nazar nahii.n
Raqim Lakhnavi
Sher
idhar aa raqiib mere mai.n tujhe gale lagaa luu.n
miraa ishq be-mazaa thaa tirii dushmanii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
maayuus na ho be-ruKHii-e-chashm-e-jahaa.n se
shaa.ista-e-ehsaas ko.ii kaam kiye jaa
Anwar Sabri
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
vahii kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaa.n hai 'iqbaal'
na ko.ii rabt banaa aur na rishta TuuTaa
Iqbal Haider
Sher
mat baKHt-e-KHufta par mire ha.ns ai raqiib tuu
hogaa tire nasiib bhii ye KHvaab dekhnaa
Meer Hasan
Sher
dushman ke kaam karne lagaa ab to dost bhii
tuu ai raqiib darpai-e-aazaar hai abas
Munawar Khan Ghafil
Sher
tum aur fareb khaa.o bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
aasmaano.n ke khule baab kise dikhte hai.n
chashm-e-pur-aab ke girdaab kise dikhte hai.n
Poonam Meera
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa