SEARCH RESULTS
Showing search results for "chhu.Daa.uu.n"
Sher MATCHES FOR "chhu.Daa.uu.n"
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
kitne lahjo.n ke Gilaafo.n me.n chhupaa.uu.n tujh ko
shahr vaale miraa mauzuu-e-suKHan jaante hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
charaag chaa.nd shafaq shaam phuul jhiil sabaa
churaa.ii.n sab ne hii kuchh kuchh shabaahate.n terii
Anjum Irfani
Sher
yuu.n churaa.ii.n us ne aa.nkhe.n saadgii to dekhiye
bazm me.n goyaa mirii jaanib ishaaraa kar diyaa
Fani Badayuni
Sher
daf.atan tark-e-ta.alluq me.n bhii rusvaa.ii hai
uljhe daaman ko chhu.Daate nahii.n jhaTkaa de kar
Arzoo Lakhnavi
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
aa andaliib mil ke kare.n aah-o-zaariyaa.n
tuu haa.e gul pukaar mai.n chillaa.uu.n haa.e dil
Rind Lakhnavi
Sher
kamaal-e-ishq hai diivaana ho gayaa huu.n mai.n
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
ai mire ghar kii fazaa.o.n se gurezaa.n mahtaab
apne ghar ke dar-o-diivaar ko kaise chho.Duu.n
Salam Machhli shahri
Sher
hamdamo dil ke lagaane me.n kaho lagtaa hai kyaa
par chhu.Daanaa is kaa mushkil hai lagaanaa sahl hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
kis tarah chho.Duu.n yakaayak terii zulfo.n kaa KHayaal
ek muddat ke ye kaale naag hai.n paale hu.e
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
dostii chhuuTe chhu.Daa.e se kisuu ke kis tarah
band hotaa hii nahii.n rasta dilo.n kii raah kaa
Waliullah Muhib
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
mai.n ne chaahaa thaa ki andoh-e-vafaa se chhuuTuu.n
vo sitamgar mire marne pe bhii raazii na hu.aa
Mirza Ghalib
Sher
jaise saahil se chhu.Daa letii hai.n mauje.n daaman
kitnaa saada hai tiraa mujh se gurezaa.n honaa