SEARCH RESULTS
Showing search results for "criticism"
Sher MATCHES FOR "criticism"
Sher
haq-e-tanqiid tumhe.n hai magar is shart ke saath
jaa.eza lete raho apne garebaano.n kaa
Iqbal Azeem
Sher
Dr. Ajaz Rasool
Sher
kam hii nahii.n hu.e tire baare me.n tabsire
gunjaa.ishe.n bahut hai.n tire KHadd-o-KHaal me.n
Nusrat Siddiqui
Sher
tire bayaan kii shoKHii se mujh ko KHadsha hai
tire KHayaal kii taa.iid kar na jaa.uu.n mai.n
Majaz Aashna
Sher
sunaa hai aaj kaa mauzuu-e-majlis-e-tanqiid
vo sher hai ki abhii mai.n ne jo kahaa bhii nahii.n
Anwar Masood
Sher
jo bhii kahnaa hai kaho saaf shikaayat hii sahii
in ishaaraat-o-kinaayaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Sher
duur tak naam kii tash.hiir agar hai manzuur
jaarii tanqiid adiibo.n pe baraabar rakhnaa
Rauf Raheem
Sher
merii taariif kare yaa mujhe bad-naam kare
jis ne jo baat bhii karnii hai sar-e-aam kare
Maqbool Aamir
Sher
puuchhaa hai Gair se mire haal-e-tabaah ko
iz.haar-e-dostii bhii kiyaa dushmanii ke saath
Ameer Qazalbash
Sher
'saudaa' se shaKHs ke ta.ii.n aazurda kiijiye
ai KHud-parast haif nahii.n tuu vafaa-parast
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Josh Malsiani
Sher
aap hii apne zaraa jaur-o-sitam ko dekhe.n
ham agar arz kare.nge to shikaayat hogii