SEARCH RESULTS
Showing search results for "da.ave-daar"
Sher MATCHES FOR "da.ave-daar"
Sher
is KHaak-daan-e-dahr me.n ghuTtaa agar hai dam
maqduur ho to aag lagaa de havaa na maa.ng
Natiq Gulavthi
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
faanii davaa-e-dard-e-jigar zahr to nahii.n
kyuu.n haath kaa.nptaa hai mire chaarasaaz kaa
Fani Badayuni
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
mai-noshii haq ne daar-e-baqaa me.n bhii kii halaal
kahtaa hai shaiKH daar-e-fanaa me.n haraam hai
Mohammad Baqar Shams
Sher
inhe.n dar-e-KHvaab-gaah se kis liye haTaayaa
muhaafizo.n kii vafaa-shi.aarii me.n kyaa kamii thii
Khalid Iqbal Yasir
Sher
kuchh der to Dare tirii jaaduugarii se ham
phir dekhne lage tujhe sanjiidgii se ham
Amaan Ali Khan
Sher
Muneer Niyazi
Sher
thii agar mai se suraahii tirii KHaalii saaqii
to charaaG-e-dar-e-mai-KHaana jalaayaa kyuu.n thaa
Unknown
Sher
jaise jaise dar-e-dildaar qariib aataa hai
dil ye kahtaa hai ki pahu.nchuu.n mai.n nazar se pahle
Jaleel Manikpuri
Sher
KHaamosh kha.Daa huu.n mai.n dar-e-KHvaab se baahar
kyaa jaaniye kab tak isii haalat me.n rahuu.ngaa
Inam Nadeem
Sher
dar-e-umiid se ho kar nikalne lagtaa huu.n
to yaas rauzan-e-zindaa.n se aa.nkh maartii hai
Zafar Iqbal
Sher
dar-e-imkaan kii dastak mujhe bhejii ga.ii hai
merii qismat me.n to maujuud kii daulat nahii.n hai
Qasim Yaqub
Sher
Shakeel Jazib
Sher
Ali Akbar Abbas
Sher
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil ma.aluum
aah be-asar dekhii naala naa-rasaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
aa dost saath aa dar-e-maazii se maa.ng laa.e.n
vo apnii zindagii ki javaa.n bhii hasii.n bhii thii
Nisar Itavi
Sher
Khalid Hasan Qadiri
Sher
dar-e-iKHlaas kii dahliiz par KHam huu.n 'aabid'
ek jiine kaa saliiqa dil-e-bebaak me.n hai