SEARCH RESULTS
Showing search results for "daa.ira-e-khyaal"
Sher MATCHES FOR "daa.ira-e-khyaal"
Sher
aajizii kahne lagii gar ho bulandii kii talab
dil jhukaa daa.ira-e-na.ara-e-takbiir me.n aa
Nadeem Sirsivi
Sher
vo de rahaa thaa talab se sivaa sabhii ko 'KHayaal'
so mai.n ne daaman-e-dil aur kuchh kushaada kiyaa
Ahmad Khayal
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
is daa.era-e-raushni-o-ra.ng se aage
kyaa jaaniye kis haal me.n bastii ke makii.n hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
dair o haram bhii Dhah ga.e jab dil nahii.n rahaa
sab dekhte hii dekhte viiraana ho gayaa
Yagana Changezi
Sher
hu.ii hai.n dair o haram me.n ye saazishe.n kaisii
dhu.aa.n saa uThne lagaa shahr ke makaano.n se
Kumar Pashi
Sher
dair-o-haram pukaarne aa.e hame.n magar
lekin KHayaal-e-yaar se fursat nahii.n milii
Bushra Bakhtiyar Khan
Sher
Garaz kufr se kuchh na dii.n se hai matlab
tamaashaa-e-dair-o-haram dekhte hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
na sirf dair-o-haram balki cha.Dh ke daar pe bhii
tire pukaarne vaale tujhe pukaar ga.e
Mahram Lakhnavi
Sher
aabaad mai-kade bhii hai.n dair-o-haram bhii nahii.n
lekin na aadmii ko milaa ko.ii aadmii