SEARCH RESULTS
Showing search results for "daaG-e-dil-e-sad-chaak"
Sher MATCHES FOR "daaG-e-dil-e-sad-chaak"
Sher
dil-e-sad-chaak miraa raah yahaa.n kab paa.e
kuucha-e-zulf me.n phirtaa hai tire shaana KHaraab
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
puuchhii jo us se mai.n dil-e-sad-chaak kii KHabar
uljhaa ke apnii zulf vo shaane se uTh gayaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ik daaG-e-dil ne mujh ko diye be-shumaar daaG
paidaa hu.e hazaar charaaG is charaaG se
Natiq Lakhnavi
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
Syed Adeel Gilanii
Sher
niklaa na daaG-e-dil se hamaaraa to ko.ii kaam
na vo charaaG-e-dair na sham-e-haram hu.aa
Munawar Khan Ghafil
Sher
muflis ke diye kii sii tiraa daaG-e-dil apnaa
ik shab na jalaa bas-ki hu.aa shaam se ma.azuul
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Sher
daaG-e-dil shab ko jo bantaa hai charaaG-e-dahliiz
raushnii ghar me.n mire rahtii hai andar baahar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
ai shoKH gulistaa.n mai.n nahii.n ye gul-e-ra.ngii.n
aayaa dil-e-sad-chaak miraa rang badal kar
Siraj Aurangabadi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
Javed Vashisht
Sher
ik nazar dekh mire dil kii taraf jaan-e-muraad
aa.ina siina-e-sad-chaak se behtar to nahii.n