SEARCH RESULTS
Showing search results for "daad-e-zabt-e-gam"
Sher MATCHES FOR "daad-e-zabt-e-gam"
Sher
zabt-e-Gam kaa mire andaaza bhalaa kyaa hotaa
mai.n agar dasht na hotaa bhii to dariyaa hotaa
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
Gam se naazuk zabt-e-Gam kii baat hai
ye bhii dariyaa hai magar Thahraa hu.aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
siine me.n zabt-e-Gam se chhaalaa ubhar rahaa hai
sho.ale ko band kar ke paanii banaa rahe hai.n
Arzoo Lakhnavi
Sher
yuu.n bhii milii hai mujh ko mire zabt-e-Gam kii daad
aksar vo sar jhukaa.e hu.e muskuraa.e hai.n
Ayaz Jhansvi
Sher
jafaa o jaur-e-musalsal vafaa o zabt-e-alam
vo iKHtiyaar tumhe.n hai ye iKHtiyaar mujhe
Anwar Sabri
Sher
ma.aal-e-zabt-e-paiham ho ga.ii hai
masarrat haasil-e-Gam ho ga.ii hai
Aleem Akhtar muzaffarnagri
Sher
kushta-e-zabt-e-fuGaa.n naGma-e-be-saaz-o-sadaa
uf vo aa.nsuu jo lahuu ban ke Tapaktaa hogaa
Haneef akhgar
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
paas-e-pindaar-e-tabii.at dil agar rakh le to kyaa
hai vajuud-e-dard mohkam zabt-e-Gam kar le to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
kamaal-e-zabt ko KHud bhii to aazmaa.uu.ngii
mai.n apne haath se us kii dulhan sajaa.uu.ngii
Parveen Shakir
Sher
rah-navard-e-bayaabaan-e-Gam sabr kar sabr kar
kaarvaa.n phir mile.nge baham sabr kar sabr kar
Nasir Kazmi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
bahlaa na dil na tiirgii-e-shaam-e-Gam ga.ii
ye jaantaa to aag lagaataa na ghar ko mai.n