SEARCH RESULTS
Showing search results for "dafiina"
Sher MATCHES FOR "dafiina"
Sher
KHaaksaaro.n kaa dil KHaziina hai
is zamii.n me.n bhii kuchh dafiina hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
saat sanduuqo.n me.n bhar kar dafn kar do nafrate.n
aaj insaa.n ko mohabbat kii zaruurat hai bahut
Bashir Badr
Sher
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
apnii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se KHalq ko kyuu.n teraa ghar mile
Mirza Ghalib
Sher
muTThiyo.n me.n KHaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn
zindagii bhar kii mohabbat kaa silaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
jis barahman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai
us ko dafnaa.o mire haath kii rekhaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
ham sab aa.iina-dar-aa.iina-dar-aa.iina hai.n
kyaa KHabar kaun kahaa.n kis kii taraf dekhtaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
dafnaa diyaa gayaa mujhe chaa.ndii kii qabr me.n
mai.n jis ko chaahtii thii vo la.Dkaa Gariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
na KHvaab hii se jagaayaa na intizaar kiyaa
ham is daf.a bhii chale aa.e chuum kar us ko
Abbas Tabish
Sher
shaayad qazaa ne mujh ko KHazaana banaa diyaa
aisaa nahii.n to kyuu.n mujhe dafnaa rahe hai.n log