SEARCH RESULTS
Showing search results for "dahaane"
Sher MATCHES FOR "dahaane"
Sher
bahut se saa.np the is Gaar ke dahaane par
dil is liye bhii KHazaana shumaar hone lagaa
Azhar Faragh
Sher
paan khaane kii adaa ye hai to ik aalam ko
KHuu.n rulaa.egaa mirii jaa.n dahan-e-surkh tiraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jast bhartaa hu.aa fardaa ke dahaane kii taraf
jaa nikaltaa huu.n kisii guzre zamaane kii taraf
Anjum Saleemi
Sher
us ke dahaan-e-ta.ng me.n jaa-e-suKHan nahii.n
ham guftuguu kare.n bhii to kyaa guftuguu kare.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
'mus.hafii' tuu ne zi-bas gul ke liye hai.n bose
rashk se dekhe hai bulbul dahan-e-surkh tiraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
totlii umr me.n jo bachcha zaraa mushfiq thaa
kuchh ba.Daa ho ke dahaane pe na pahu.nchaa aaKHir
Anees Ansari
Sher
lagaa.ii.n taak ke us mast ne jo talvaare.n
dahaan-e-zaKHm-e-badan se bhii aa.e buu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
gu.ng hai.n jin ko KHamoshii kaa mazaa hotaa hai
dahan-e-zaKHm me.n KHud qufl-e-hayaa hotaa hai
Naseem Dehlvi
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
ibtidaa ye thii ki mai.n thaa aur da.avaa ilm kaa
intihaa ye hai ki is da.ave pe sharmaayaa bahut
Jagan Nath Azad
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
sunegaa kaun merii chaak-daamaanii kaa afsaana
yahaa.n sab apne apne pairahan kii baat karte hai.n