SEARCH RESULTS
Showing search results for "dahqaa.n"
Sher MATCHES FOR "dahqaa.n"
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
Gam-e-jaanaa.n Gam-e-dauraa.n kii taraf yuu.n aayaa
jaanib shahar chale duKHtar-e-dahqaa.n jaise
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
murshid na chho.D ham ko hamaare nasiib par
zarKHez khetiyo.n ko bhii dahqaan chaahiye
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kahaanii likhte hu.e daastaa.n sunaate hu.e
vo so gayaa hai mujhe KHvaab se jagaate hu.e
Saleem Kausar
Sher
Munawwar Rana
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye
Moin Ahsan Jazbi
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
daaman pe ko.ii chhii.nT na KHanjar pe ko.ii daaG
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
Kaleem Aajiz
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ishq ke sho.ale ko bha.Dkaa.o ki kuchh raat kaTe
dil ke a.ngaare ko dahkaa.o ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
Sher
ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n
kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
hame.n har vaqt ye ehsaas daaman-giir rahtaa hai
pa.De hai.n Dher saare kaam aur mohlat zaraa sii hai