SEARCH RESULTS
Showing search results for "dar-dar"
Sher MATCHES FOR "dar-dar"
Sher
Dar Dar ke jaagte hu.e kaaTii tamaam raat
galiyo.n me.n tere naam kii itnii sadaa lagii
Nomaan Shauque
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
Waliullah Muhib
Sher
Unknown
Sher
dar-ba-dar Thokare.n khaa.ii.n to ye maaluum hu.aa
ghar kise kahte hai.n kyaa chiiz hai be-ghar honaa
Saleem Ahmed
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
mai.n apnii ruuh liye dar-ba-dar bhaTaktaa rahaa
badan se duur mukammal vajuud thaa meraa
Faryad Aazar
Sher
dar-ba-dar hone se pahle kabhii sochaa bhii na thaa
ghar mujhe raas na aayaa to kidhar jaa.uu.ngaa
Saqi Amrohvi
Sher
Lutf-ur-rahman
Sher
dar-ba-dar phirne ne merii qadr kho.ii ai falak
un ke dil me.n hii jagah miltii jo KHalvat maa.ngtaa
Aagha Akbarabadi
Sher
Javed Naseemi
Sher
phir hu.aa aise ki mujh ko dar-ba-dar karne ke ba.ad
naam us bastii kaa mere naam par rakkhaa gayaa
Jawaz Jafri
Sher
dar-ba-dar maaraa-phiraa mai.n justujuu-e-yaar me.n
zaahid-e-ka.aba hu.aa rahbaan-e-but-KHaana hu.aa