SEARCH RESULTS
Showing search results for "dard-e-be-dard"
Sher MATCHES FOR "dard-e-be-dard"
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaa.n
Khwaja Meer Dard
Sher
'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuu.n maanaa
us ko kuchh aur sivaa diid ke manzuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
be-kaif javaanii hai be-dard zamaana hai
naakaam-e-mohabbat kaa itnaa hii fasaana hai
Sarwar Alam Raz
Sher
aah dii siine me.n aatish kaun sii be-dard ne
dil se le kar mu.nh talak umDaa hu.aa ik dard hai
Santokh Rai Betab
Sher
be-dar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko.ii ham-saaya na ho aur paasbaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
dard-e-mahruumii-e-jaaved bhii ik daulat hai
ahl-e-Gam bhii tire sharminda-e-ehsaa.n nikle
Azeem Murtaza
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
ulfat ke badle un se milaa dard-e-laa-ilaaj
itnaa ba.Dhe hai dard mai.n jitnii davaa karuu.n
Asar Akbarabadi
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako