SEARCH RESULTS
Showing search results for "dard-e-mushtarak"
Sher MATCHES FOR "dard-e-mushtarak"
Sher
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaa.n
Khwaja Meer Dard
Sher
'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuu.n maanaa
us ko kuchh aur sivaa diid ke manzuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
Ibn e Insha
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogii
sunte the vo aa.e.nge sunte the sahar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sab apnaa haal kahte rahe chaarasaaz se
mai.n thaa ki mahv-e-lazzat-e-dard-e-jigar rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
dard-e-mahruumii-e-jaaved bhii ik daulat hai
ahl-e-Gam bhii tire sharminda-e-ehsaa.n nikle
Azeem Murtaza
Sher
Mirza Hadi Ruswa
Sher
merii betaabii kii mushkil aap aasaa.n ho ga.ii
ba.Dh gayaa dard-e-dil-e-betaab to kam ho gayaa
Unknown
Sher
royaa tamaam umr vo shabnam ke saath saath
phir kyo.n kahuu.n ki dard-e-gul-e-tar me.n kuchh na thaa