SEARCH RESULTS
Showing search results for "dard-e-uzr-e-naala-e-saamaanii"
Sher MATCHES FOR "dard-e-uzr-e-naala-e-saamaanii"
Sher
Rabia Sultana Nashad
Sher
mai.n aur sad-hazaar navaa-e-jigar-KHaraash
tuu aur ek vo naa-shuniidan ki kyaa kahuu.n
Mirza Ghalib
Sher
na intizaar karo in kaa ai azaa-daaro
shahiid jaate hai.n jannat ko ghar nahii.n aate
Sabir Zafar
Sher
ek dard-e-hastii ne umr bhar rifaaqat kii
varna saath detaa hai kaun aaKHirii dam tak
Azeem Murtaza
Sher
kisii ke dard-e-mohabbat ne umr bhar ke liye
KHudaa se maa.ng liyaa intiKHaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
dard-e-dil kii intihaa thii zabt TuuTaa aur phir
aa.nsu.o.n kaa rang merii shaa.irii me.n aa gayaa
Dinesh Kumar
Sher
vahii to umr mere dard-e-dil kii bhii hogii
tire shabaab kaa ye kaun saal hai pyaare
Kaleem Aajiz
Sher
ik KHalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.n rahne diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naa-mehrbaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
tum jo aa.e ho to shakl-e-dar-o-diivaar hai aur
kitnii ra.ngiin mirii shaam hu.ii jaatii hai
Nihal Sevharvi
Sher
KHuugar-e-lazzat-e-aazaar thaa itnaa 'aatish'
dard bhii maa.ngaa to pahle se sivaa maa.ngaa thaa
Aatish Bahawalpuri
Sher
Mirza Ghalib
Sher
tanhaa kha.Daa huu.n mai.n bhii sar-e-karbalaa-e-asr
aur sochtaa huu.n mere taraf-daar kyaa hu.e
Mohsin Ehsan
Sher
'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuu.n maanaa
us ko kuchh aur sivaa diid ke manzuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
duniyaa me.n a.ndhero.n ke sivaa aur rahaa kyaa
ik terii tamannaa so charaaG-e-saharii hai
Shahzad Ahmad
Sher
Hasan Abbas Raza
Sher
ai nasiim-e-saharii buu-e-mohabbat le aa
turra-e-yaar satii itr kii mahkaar kuu.n khol