SEARCH RESULTS
Showing search results for "daur-e-azmat-e-maryam"
Sher MATCHES FOR "daur-e-azmat-e-maryam"
Sher
Shibli Nomani
Sher
tamiiz-e-KHvaab-o-haqiiqat hai shart-e-bedaarii
KHayaal-e-azmat-e-maazii ko chho.D haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
Sher
kise KHabar thii ki ye daur-e-KHud-Garaz ik din
junuu.n se qiimat-e-daar-o-rasan chhupaa.egaa
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
muzhda-baad ai baada-KHvaaro daur-e-vaa.iz ho chukaa
madrase khode ga.e ta.amiir mai-KHaana hu.aa
Rind Lakhnavi
Sher
yahii hai daur-e-Gam-e-aashiqii to kyaa hogaa
isii tarah se kaTii zindagii to kyaa hogaa
Farigh Bukhari
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
is daur-e-aaKHirii kii jahaalat to dekhiye
jis kii zabaa.n-daraaz hukuumat usii kii hai
Bashir Mehtaab
Sher
is se ziyaada daur-e-junuu.n kii KHabar nahii.n
kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se ham
Jagan Nath Azad
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
is daur-e-taraqqii ke andaaz niraale hai.n
zehno.n me.n a.ndhere hai.n sa.Dko.n pe ujaale hai.n
Divakar Rahi
Sher
is daur-e-aafiyat me.n ye kyaa ho gayaa hame.n
pattaa samajh ke le u.Dii vahshii havaa hame.n
Zaheer Kashmiri
Sher
mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
daur-e-hayaat aa.egaa qaatil qazaa ke ba.ad
hai ibtidaa hamaarii tirii intihaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
daur-e-ishrat ne sa.nvaare hai.n Gazal ke gesuu
fikr ke pahluu magar Gam kii badaulat aa.e