SEARCH RESULTS
Showing search results for "daur-e-jahaa.n"
Sher MATCHES FOR "daur-e-jahaa.n"
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
pau phaTte hii 'riyaaz' jahaa.n KHuld ban gayaa
Gilmaan-e-mahr saath liye aa.ii huur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
numuud un kii bhii daur-e-subuu me.n thii kal raat
abhii jo daur-e-tah-e-aasmaa.n nahii.n guzre
Sirajuddin Zafar
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yahii hai daur-e-Gam-e-aashiqii to kyaa hogaa
isii tarah se kaTii zindagii to kyaa hogaa
Farigh Bukhari
Sher
ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegii
ye daur-e-ishaaraat-o-kinaayaat nahii.n hai
Hafeez Merathi
Sher
gul khilaa.e na kahii.n fitna-e-dauraa.n kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jaam se jii Dartaa hai
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
maayuus na ho be-ruKHii-e-chashm-e-jahaa.n se
shaa.ista-e-ehsaas ko.ii kaam kiye jaa
Anwar Sabri
Sher
bas yuu.nhii ham-sarii-e-ahl-e-jahaa.n mumkin hai
dam-ba-dam apnii bulandii se utartaa jaa.uu.n
Makhmoor Saeedi
Sher
kise KHabar thii ki ye daur-e-KHud-Garaz ik din
junuu.n se qiimat-e-daar-o-rasan chhupaa.egaa
Ehsan Danish
Sher
rakhtaa hai talKH-kaam Gam-e-lazzat-e-jahaa.n
kyaa kiijiye ki lutf nahii.n kuchh gunaah kaa