SEARCH RESULTS
Showing search results for "dekhne"
Sher MATCHES FOR "dekhne"
Sher
sab log jidhar vo hai.n udhar dekh rahe hai.n
ham dekhne vaalo.n kii nazar dekh rahe hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
mai.n jaagtaa huu.n tiraa KHvaab dekhne ke liye
Azhar Inayati
Sher
bastii me.n apnii hinduu musalmaa.n jo bas ga.e
insaa.n kii shakl dekhne ko ham taras ga.e
Kaifi Azmi
Sher
uf vo marmar se taraashaa hu.aa shaffaaf badan
dekhne vaale use taaj-mahal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
nigaah barq nahii.n chehra aaftaab nahii.n
vo aadmii hai magar dekhne kii taab nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
kinaare hii se tuufaa.n kaa tamaashaa dekhne vaale
kinaare se kabhii andaaza-e-tuufaa.n nahii.n hotaa
Jagan Nath Azad
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
is vaqt vahaa.n kaun dhu.aa.n dekhne jaa.e
aKHbaar me.n pa.Dh le.nge kahaa.n aag lagii thii
Anwar Masood
Sher
mai.n so rahaa huu.n tire KHvaab dekhne ke liye
ye aarzuu hai ki aa.nkho.n me.n raat rah jaa.e
Shakeel Azmi
Sher
mai.n badalte hu.e haalaat me.n Dhal jaataa huu.n
dekhne vaale adaakaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
dekhne aa.e the vo apnii mohabbat kaa asar
kahne ko ye hai ki aa.e hai.n ayaadat kar ke
Hasrat Mohani
Sher
ik tujh ko dekhne ke liye bazm me.n mujhe
auro.n kii samt maslahatan dekhnaa pa.Daa