SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhab"
Sher MATCHES FOR "dhab"
Sher
Gair se duur magar us kii nigaaho.n ke qarii.n
mahfil-e-yaar me.n is Dhab se alag baiThaa huu.n
Peer Nasiruddin Shah Naseer
Sher
hame.n bhii arz-e-tamannaa kaa Dhab nahii.n aataa
mizaaj-e-yaar bhii saada hai kyaa kiyaa jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
kahaanii me.n na.e kirdaar shaamil ho ga.e hai.n
nahii.n ma.aluum ab kis Dhab tamaashaa KHatm hogaa
Iftikhar Arif
Sher
ijz ke saath chale aa.e hai.n ham 'yazdaanii'
ko.ii aur un ko manaa lene kaa Dhab yaad nahii.n
Yazdani Jalandhari
Sher
chaahat kii tamannaa se ko.ii aa.nch na aa.ii
ye aag mire dil me.n ba.De Dhab se lagii hai
Muztar Khairabadi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kal mire qatl ko is Dhab se vo baa.nkaa niklaa
mu.nh se jallaad-e-falak ke bhii ahaahaa niklaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
ye banda ho yaa tum ho vaa.n Gair na ho ko.ii
is Dhab ke hai milne kaa armaan miraa saahab
Waliullah Muhib
Sher
Nasir Shahzad
Sher
raat to vaqt kii paaband hai Dhal jaa.egii
dekhnaa ye hai charaaGo.n kaa safar kitnaa hai
Waseem Barelvi
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
kaaGaz me.n dab ke mar ga.e kii.De kitaab ke
diivaana be-pa.Dhe-likhe mash.huur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
shaam Dhalne se faqat shaam nahii.n Dhaltii hai
umr Dhal jaatii hai jaldii palaT aanaa mire dost
Ashfaq Nasir
Sher
mai.n badalte hu.e haalaat me.n Dhal jaataa huu.n
dekhne vaale adaakaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
Saail Dehlvi
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa