SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhang"
Sher MATCHES FOR "dhang"
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
jaane kis rang se ruuThegii tabii.at us kii
jaane kis Dha.ng se ab us ko manaanaa hogaa
Anwar Masood
Sher
Meer Anees
Sher
dosto.n se dushmanii aur dushmano.n se dostii
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dha.ng hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Unknown
Sher
apne gale me.n apnii hii baa.nho.n ko Daaliye
jiine kaa ab to ek yahii Dha.ng rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
sar salaamat liye lauT aa.e galii se us kii
yaar ne ham ko ko.ii Dha.ng kii KHidmat nahii.n dii
Farhat Ehsas
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
vo jaate jaate mujhe apne Gam bhii sau.np gayaa
ajiib Dha.ng nikaalaa hai Gam-gusaarii kaa
Aazim Kohli
Sher
agarche us kii har ik baat khurdurii hai bahut
mujhe pasand hai Dha.ng us ke baat karne kaa
Hakeem Manzoor
Sher
chehro.n pe zar-posh andhere phaile hai.n
ab jiine ke Dha.ng ba.De hii mah.nge hai.n
Ambar Bahraichi
Sher
sikhlaa rahaa huu.n dil ko mohabbat ke ra.ng-Dha.ng
kartaa huu.n mai.n makaan kii ta.amiir aaj-kal
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
vo jalva-e-sad-rang me.n ik Dha.ng se niklaa
jo misra tire siina-o-aaha.ng se niklaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
ajiib Dha.ng se taqsiim-e-kaar kii us ne
so jis ko dil na diyaa us ko dilrubaa.ii dii
Bilal Ahmad
Sher
'ajiib Dhang se mujh ko milii hai aazaadii
parinda pi.njre me.n pi.njra havaa me.n rakkhaa gayaa
Salman Saeed
Sher
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aa.e.nge sarkaar ba.ndhe