SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhote"
Sher MATCHES FOR "dhote"
Sher
jam gayaa KHuu.n kaf-e-qaatil pe tiraa 'miir' zi-bas
un ne ro ro diyaa kal haath ko dhote dhote
Meer Taqi Meer
Sher
Afzal Parvez
Sher
chaahiye aadmii ho baar-e-ta.alluq se barii
kyuu.nki begaano.n ke yaa.n bojh ko KHar Dhote hai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
ruKH pe aa jaataa hai jis roz tamanna kaa buKHaar
raat ho jaatii hai chehra mujhe dhote dhote
Sharib Mauranwi
Sher
zindagii Dhote hu.e log kahaa.n tak jaa.e.n
ko.ii is sang-e-garaa.n se nahii.n bach paayaa hai
Aharas siddiqui
Sher
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahii.n
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
Firaq Gorakhpuri
Sher
Syed Zameer Jafri
Sher
har-chand e'tibaar me.n dhoke bhii hai.n magar
ye to nahii.n kisii pe bharosaa kiyaa na jaa.e
Jan Nisar Akhtar
Sher
sab ke jaisii na banaa zulf ki ham saada-nigaah
tere dhoke me.n kisii aur ke shaane lag jaa.e.n
Farhat Ehsas
Sher
baap bojh Dhotaa thaa kyaa jahez de paataa
is liye vo shahzaadii aaj tak ku.nvaarii hai
Manzar Bhopali
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
umr-safar jaarii hai bas ye khel dekhne ko
ruuh badan kaa bojh kahaa.n tak kab tak Dhotii hai
Shahryar
Sher
'alvii' ye mo.ajiza hai december kii dhuup kaa
saare makaan shahr ke dho.e hu.e se hai.n