SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhul"
Sher MATCHES FOR "dhul"
Sher
jam ga.ii dhuul mulaaqaat ke aa.iino.n par
mujh ko us kii na use merii zaruurat ko.ii
Asad Badayuni
Sher
aa.nkho.n me.n u.D rahii hai luTii mahfilo.n kii dhuul
ibrat-saraa-e-dahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Sher
galii galii me.n takalluf kii dhuul hotii hai
ab apnaa shahar bhii lagtaa hai ajnabii kii tarah
Raunaq Naeem
Sher
havaa ko zid ki u.Daa.egii dhuul har suurat
hame.n ye dhun hai ki aa.iina saaf karnaa hai
Azhar Adeeb
Sher
ek jaise roz-o-shab kii dhuul hai a.asaab par
ko.ii be-tartiib lamha merii yaksaanii me.n rakh
Aziz Nabeel
Sher
aa.nkhe.n hai.n aur dhuul bharaa sannaaTaa hai
guzar ga.ii hai ajab savaarii yaado.n vaalii
Sarvat Husain
Sher
uTh uTh ke aasmaa.n ko bataatii hai dhuul kyuu.n
miTTii me.n dafn ho ga.e kitne sadaf yahaa.n
Javed Nasir
Sher
phir tuu ne diyaa hai nayaa faasla mujhe
sar par abhii to pichhlii masaafat kii dhuul hai
Unknown
Sher
surma jo nuur baKHshe hai aa.nkho.n ko KHalq kii
shaayad ki raah-e-yaar kii hii KHaak dhuul ho
Meer Taqi Meer
Sher
chaahaa hai jis kaa saaya shajar vo babuul hai
qismat me.n mere aaj bhii sa.Dko.n kii dhuul hai
Azhar Naiyyar
Sher
hamaare mu.nh pe u.Daataa hu.aa vo dhuul gayaa
hamii.n ne chalnaa sikhaayaa hamii.n ko bhuul gayaa
Maroof Raebarelvi
Sher
u.Daa ga.e hai.n bahut dhuul jaane vaale log
chhaTe Gubaar to kuchh raasta nazar aa.e
Anis Dehlavi
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
barf-manzar dhuul ke baadal havaa ke qahqahe
jo kabhii dahliiz ke baahar the vo andar bhii the
P P Srivastava Rind
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
jaate nahii.n hai.n aur kahii.n phaa.nkne ko dhuul
sahraa hamaare ghar kaa hai mehmaan in dino.n