SEARCH RESULTS
Showing search results for "diida-e-ibrat"
Sher MATCHES FOR "diida-e-ibrat"
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n
bint-ul-anab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
zindagii hai chashm-e-ibrat me.n abhii
kuchh nahii.n to aish-o-ishrat hii sahii
Akbar Haideri Kashmiri
Sher
diida-e-be-nuur ik aalam hai kyaa ye jhuuT hai
har taraf phailaa hu.aa hai tiirgii kaa silsila
Mubarak Shamim
Sher
manzil-e-ibrat hai duniyaa ahl-e-duniyaa shaad hai.n
aisii dil-jam.ii se hotii hai pareshaanii mujhe
Chakbast Braj Narayan
Sher
hai ye duniyaa jaa-e-ibrat KHaak se insaan kii
ban ga.e kitne subuu kitne hii paimaane hu.e
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
uTh ai naqaab-e-yaar ki baiThe hai.n der se
kitne Gariib diida-e-pur-nam liye hu.e
Jaleel Manikpuri
Sher
miizaan-e-adaalat hai.n mire diida-e-pur-aab
ham-vazn har aa.nsuu kaa har aa.nsuu nazar aayaa
Naseem Dehlvi
Sher
tere kuuche se safar mai.n ne kiyaa thaa jis din
the mire saath mire diida-e-KHuu.n-baar aur bas
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
suntaa huu.n un kii bazm me.n chhalke.nge aaj jaam
mai.n bhii chalaa huu.n diida-e-pur-nam liye hu.e
Jaleel Manikpuri
Sher
Tajwar Najibabadi
Sher
tuu kuchh to mire zabt-e-mohabbat kaa sila de
ha.ngaam-e-'fanaa' diida-e-pur-nam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
zindagii bhar na yam-e-diida-e-giryaa.n Thahraa
kashtii-e-umr Dubo.ii to ye tuufaa.n Thahraa