SEARCH RESULTS
Showing search results for "diivaana-e-lailaa"
Sher MATCHES FOR "diivaana-e-lailaa"
Sher
junuu.n hotaa hai chhaa jaatii hai hairat
kamaal-e-aql ik diivaana-pan hai
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
fariyaad ko majnuu.n kii sune kaun jahaa.n ho.n
likkhuu.n dil-e-naalaa.n jaras-e-mahmil-e-lailaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
huu.n mai.n vo diivaana-e-naazuk-mizaaj-e-gul-ruKHaa.n
kiijiye zanjiir jis ko saaya-e-zanjiir se
Meer Mohammadi Bedar
Sher
merii aa.nkho.n se mire yaar kaa jalva dekho
chashm-e-majnuu.n se bahaar-e-ruKH-e-lailaa dekho
Jaleel Manikpuri
Sher
Sahir Dehlavi
Sher
majnuu.n hai.n magar KHvaahish-e-lailaa nahii.n karte
ham ishq to karte hai.n tamannaa nahii.n karte
Unknown
Sher
diid-e-lailaa ke liye diida-e-majnuu.n hai zaruur
merii aa.nkho.n se ko.ii dekhe tamaashaa teraa
Rind Lakhnavi
Sher
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aatii hai
dil-e-majnuu.n ke dha.Dakne kii sadaa aatii hai
Taashshuq Lakhnavi
Sher
sach ishq me.n hai.n aashiq o ma.ashuuq baraabar
jo mushkil-e-majnuu.n hai so hai mushkil-e-lailaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sahraa kii ab havaa jo lagii ho gayaa hiran
majnuu.n ke bas kaa naaqa-e-lailaa nahii.n rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
le qais KHabar mahmil-e-lailaa to na hove
is dasht se aatii hai kuchh aavaaz-e-daraa garm
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aa.ii jo ruuh-e-lailaa ziyaarat ko qais kii
dii ishq ne qanaat ba-gard-e-mazaar baa.ndh
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
diivaana-e-khirad ho ki majnuun-e-ishq ho
rahnaa hai us ko chaak-garebaa.n kiye hu.e
Razi Raziuddin
Sher
baiThaa thaa aa ke qais to lailaa ke dar pe lek
diivaana kodko.n ke sataane se uTh gayaa