SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-e-be-zabaan"
Sher MATCHES FOR "dil-e-be-zabaan"
Sher
Dartaa huu.n dekh kar dil-e-be-aarzuu ko mai.n
sunsaan ghar ye kyuu.n na ho mehmaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
ai dil-e-be-jur.at itnii bhii na kar be-jur.atii
juz sabaa us gul kaa is dam paasbaa.n ko.ii nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Afeef Siraj
Sher
saraapaa aarzuu hone ne banda kar diyaa ham ko
vagarna ham KHudaa the gar dil-e-be-mudda.aa hote
Meer Taqi Meer
Sher
hai merii aa.nkho.n me.n aks-e-navishta-e-diivaar
samajh sako to miraa nutq-e-be-e-zabaa.n le lo
Farhan Salim
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
ye aa.nkhe.n ye dimaaG ye zaKHmo.n kaa ghar badan
sab mahv-e-KHvaab hai.n dil-e-be-taab ke sivaa
Obaidullah Siddiqui
Sher
aamad kaa tirii jab ko.ii imkaan nahii.n hai
kab tak dil-e-be-taab yuu.nhii thaam rakhe.n ham
Khurram Khiram Siddiqui
Sher
dekhaa jo mujh ko pher ke mu.nh muskuraa diye
bijlii girii ta.Dap ke dil-e-be-qaraar par
Mohammad Baqar Shams
Sher
kal jahaa.n se ki uThaa laa.e the ahbaab mujhe
le chalaa aaj vahii.n phir dil-e-be-taab mujhe
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
khaTak rahii hai ko.ii shai nikaal de ko.ii
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar siine me.n
Mubarak Azimabadi
Sher
fikr-e-suKHan talaash-e-ma.aash o KHayaal-e-yaar
Gam kam hu.aa to haa.n dil-e-be-Gam se hovegaa