SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-pasand"
Sher MATCHES FOR "dil-pasand"
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
mujh ko na dil pasand na vo bevafaa pasand
dono.n hai.n KHud-Garaz mujhe dono.n hai.n naa-pasand
Bekhud Dehlvi
Sher
tujh ko KHabar nahii.n hai magar ik tire baGair
ye dil-pasand shahr bhii KHaalii lagaa mujhe
Anjum Barabankvi
Sher
de de.n abhii kare jo ko.ii KHuub-ruu pasand
ham ko nahii.n pasand dil-e-aarzuu-pasand
Naseem Bharat Puri
Sher
ab shuGl hai yahii dil-e-iizaa-pasand kaa
jo zaKHm bhar gayaa hai nishaa.n us kaa dekhnaa
Ahmad Mushtaq
Sher
dil bhii ajiib KHaana-e-vahdat-pasand thaa
is ghar me.n yaa to tuu rahaa yaa be-dilii rahii
Vipul Kumar
Sher
duniyaa pasand aane lagii dil ko ab bahut
samjho ki ab ye baaG bhii murjhaane vaalaa hai
Jamal Ehsani
Sher
ye dil ye shahr-e-vafaa kab use pasand aayaa
vo be-qaraar thaa us ko yahaa.n se jaanaa thaa
Khawer Eijaz
Sher
aayaa unhe.n pasand to un kaa hii ho gayaa
kam thaa hamaare dil se hamaaraa kalaam kyaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
apnii kahe.n ki is dil-e-KHaana-KHaraab kii
tum ko jo ho pasand vahii guftuguu kare.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
haalat dil-e-betaab kii dekhii nahii.n jaatii
behtar hai ki ho jaa.e ye paivand zamii.n kaa
Ahsan Marahravi
Sher
diin o duniyaa kaa jo nahii.n paaband
vo faraaGat tamaam rakhtaa hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
banaa letaa hai mauj-e-KHuun-e-dil se ik chaman apnaa
vo paaband-e-qafas jo fitratan aazaad hotaa hai
Asghar Gondvi
Sher
dekhnaa zor hii gaa.nThaa hai dil-e-yaar se dil
sa.ng-o-shiishe ko kiyaa hai mai.n hunar se paivand
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
hai.n diin ke paaband na duniyaa ke muqayyad
kyaa ishq ne is bhuul-bhulayyaa.n se nikaalaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
sadiyo.n kaa intishaar fasiilo.n me.n qaid thaa
dastak ye kis ne dii ki imaarat bikhar ga.ii