SEARCH RESULTS
Showing search results for "do-aalam"
Sher MATCHES FOR "do-aalam"
Sher
nisyah-o-naqd-e-do-aalam kii haqiiqat maaluum
le liyaa mujh se mirii himmat-e-aalii ne mujhe
Mirza Ghalib
Sher
dilo.n ko fikr-e-do-aalam se kar diyaa aazaad
tire junuu.n kaa KHudaa silsila daraaz kare
Hasrat Mohani
Sher
merii havas ko aish-e-do-aalam bhii thaa qubuul
teraa karam ki tuu ne diyaa dil dukhaa hu.aa
Fani Badayuni
Sher
yaad me.n terii do-aalam ko bhulaanaa hai hame.n
umr bhar ab kahii.n aanaa hai na jaanaa hai hame.n
Sher
mujh ko nahii.n qubuul do-aalam kii vus.ate.n
qismat me.n kuu-e-yaar kii do-gaz zamii.n rahe
Jigar Moradabadi
Sher
ishq kahtaa hai do-aalam se judaa ho jaa.o
husn kahtaa hai jidhar jaa.o nayaa aalam hai
Aasi Ghazipuri
Sher
Natiq Lakhnavi
Sher
mai pilaa aisii ki saaqii na rahe hosh mujhe
ek saaGar se do aalam ho.n faraamosh mujhe
Rind Lakhnavi
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
tark de islaam ko aur kufr saaraa duur kar
chho.D de hirs-o-havaa farzand aur zan bhuul jaa
Alimullah
Sher
Dr. Azam
Sher
is aalam-e-viiraa.n me.n kyaa anjuman-aaraa.ii
do roz kii mahfil hai ik umr kii tanhaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
kuchh der fikr aalam-e-baalaa kii chho.D do
is anjuman kaa raaz isii anjuman me.n hai
Asar Lakhnavi
Sher
‘aalam-e-huu me.n sahii shor to kar lene do
apne hone kaa bhii e'laan zaruurii hai miyaa.n
Asif Bilal
Sher
do din me.n ho gayaa hai ye aalam ki jis tarah
tere hii iKHtiyaar me.n hai.n umr bhar se ham