SEARCH RESULTS
Showing search results for "dubai"
Sher MATCHES FOR "dubai"
Sher
sochte hai.n ki barii KHud ko karoge kaise
ham na bole.nge magar dard sunaa.ii de.nge
Shahid Mahmood
Sher
mai.n vo sahraa jise paanii kii havas le Duubii
tuu vo baadal jo kabhii TuuT ke barsaa hii nahii.n
Sultan Akhtar
Sher
ek vo hai.n ki jinhe.n apnii KHushii le Duubii
ek ham hai.n ki jinhe.n Gam ne ubharne na diyaa
Azad Gulati
Sher
ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n
kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
Qateel Shifai
Sher
mai.n tinko.n kaa daaman paka.Dtaa nahii.n huu.n
mohabbat me.n Duubaa to kaisaa sahaaraa
Nushur Wahidi
Sher
us naa-KHudaa ke zulm o sitam haa.e kyaa karuu.n
kashtii mirii Dubo.ii hai saahil ke aas-paas
Hasrat Mohani
Sher
Azm Bahzad
Sher
Zeb Ghauri
Sher
mai.n is umiid pe Duubaa ki tuu bachaa legaa
ab is ke baa'd miraa imtihaan kyaa legaa
Waseem Barelvi
Sher
surKHiyaa.n KHuun me.n Duubii hai.n sab aKHbaaro.n kii
aaj ke din ko.ii aKHbaar na dekhaa jaa.e
Makhmoor Saeedi
Sher
Gam-e-hayaat bhii aaGosh-e-husn-e-yaar me.n hai
ye vo KHizaa.n hai jo Duubii hu.ii bahaar me.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
lai me.n Duubii hu.ii mastii bharii aavaaz ke saath
chhe.D de ko.ii Gazal ik na.e andaaz ke saath
Unknown
Sher
na TuuT kar itnaa ham ko chaaho ki ro pa.De.n ham
dabii dabaa.ii sii choT ik ik ubhar ga.ii hai