SEARCH RESULTS
Showing search results for "dvaara"
Sher MATCHES FOR "dvaara"
Sher
log nafrat kii fazaa.o.n me.n bhii jii lete hai.n
ham mohabbat kii havaa se bhii Daraa karte hai.n
Lata Haya
Sher
kuchh allahabad me.n saamaa.n nahii.n bahbuud ke
yaa.n dharaa kyaa hai ba-juz akbar ke aur amruud ke
Akbar Allahabadi
Sher
na jaane baahar bhii kitne aaseb muntazir ho.n
abhii mai.n andar ke aadmii se Daraa hu.aa huu.n
Aanis Moin
Sher
utar ke naav se bhii kab safar tamaam hu.aa
zamii.n pe paa.nv dharaa to zamiin chalne lagii
Shakeb Jalali
Sher
Navab Sultan Jahan Begam
Sher
na sikandar hai na daaraa hai na qaisar hai na jam
be-mahal KHaak me.n hai.n qasr banaane vaale
Mirza Raza Barq
Sher
Anees Ansari
Sher
badan kii andhii galii to jaa-e-amaan Thahrii
mai.n apne andar kii raushnii se Daraa hu.aa huu.n
Aanis Moin
Sher
silsila KHvaabo.n kaa sab yuu.nhii dharaa rah jaa.egaa
ek din bistar pe ko.ii jaagtaa rah jaa.egaa
Hayat Lakhnavi
Sher
ham ko Daraa kar, aap ko KHairaat baa.nT kar
ik shaKHs raato.n-raat jahaa.ngiir ho gayaa
Nomaan Shauque
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
hai mushtamil numuud-e-suvar par vajuud-e-bahar
yaa.n kyaa dharaa hai qatra o mauj-o-habaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
luT gayaa vo tire kuuche me.n dharaa jis ne qadam
is tarah kii bhii kahii.n raahzanii hotii hai
Hafeez Jaunpuri
Sher
jis ne yaaro mujh se da.avaa sher ke fan kaa kiyaa
mai.n ne le kar us ke kaaGaz aur qalam aage dharaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
shaiKH mujh ko na Daraa apnii musalmaanii thaam
ham faqiiro.n kaa kisii rang se iimaan na jaa.e