SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehtiraaz"
Sher MATCHES FOR "ehtiraaz"
Sher
tuu mere saamne baiThaa hai aah tis par bhii
phirii hu.ii hai tirii ehtiraaz kii gardan
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
muKHaalifat se mirii shaKHsiyat sa.nvartii hai
mai.n dushmano.n kaa ba.Daa ehtiraam kartaa huu.n
Bashir Badr
Sher
bahut se log the mehmaan mere ghar lekin
vo jaantaa thaa ki hai ehtimaam kis ke liye
Parveen Shakir
Sher
kyaa jaane kyaa likhaa thaa use iztiraab me.n
qaasid kii laash aa.ii hai KHat ke javaab me.n
Momin Khan Momin
Sher
ham ko aksar ye KHayaal aataa hai us ko dekh kar
ye sitaara kaise Galatii se zamii.n par rah gayaa
imtiyaz Khan
Sher
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shaKHs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
Ahtamam Sadiq
Sher
jhunjhlaa.e hai.n lajaa.e hai.n phir muskuraa.e hai.n
kis ehtimaam se unhe.n ham yaad aa.e hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
ab mujh ko ehtimaam se kiije supurd-e-KHaak
uktaa chukaa huu.n jism kaa malba uThaa ke mai.n
Dilawar Ali Aazar
Sher
ajiib baat hai din bhar ke ehtimaam ke ba.ad
charaaG ek bhii raushan hu.aa na shaam ke ba.ad
Shaukat Wasti
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
mujhe sambhaalne me.n itnii ehtiyaat na kar
bikhar na jaa.uu.n kahii.n mai.n tirii hifaazat me.n
Saleem Kausar
Sher
so apne shahr ke raunaq kii KHair maa.ngnaa tum
mai.n apne gaa.nv se ik shaam le ke aa rahaa huu.n
Ahtamam Sadiq
Sher
hogaa bahut shadiid tamaazat kaa intiqaam
saa.e se mil ke ro.egii diivaar dekhnaa